Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq - Allama Iqbal Poetry

Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq – Allama Iqbal Poetry

Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq

Allama Iqbal Poetry (Bal-e-Jibril)

Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq
Yehi Raha Hai Azal Se Qalanderon La Tareeq

ہزار خوف ہو ليکن زباں ہو دل کی رفيق
يہی رہا ہے ازل سے قلندروں کا طريق

Hajoom Kyun Hai Zaida Sharab Khane Mein
Faqat Ye Baat Ke Peer-e-Mughan Hai Mard-e-Takhleeq

ہجوم کيوں ہے زيادہ شراب خانے ميں
فقط يہ بات کہ پير مغاں ہے مرد خليق

Ilaj-e-Zu’af-e-Yaqeen In Se Ho Nahin Sakta
Gareeb Agarcha Hain Razi Ke Nukta Ha’ay Daqeeq

علاج ضعف يقيں ان سے ہو نہيں سکتا
غريب اگرچہ ہيں رازی کے نکتہ ہائے دقيق

Mureed Sada Tou Ro Ro Ke Ho Gaya Ta’eb
Khuda Kare Ke Mile Sheikh Ko Bhi Ye Toufeeq

مريد سادہ تو رو رو کے ہو گيا تائب
خدا کرے کہ ملے شيخ کو بھی يہ توفيق

Ussi Talism-e-Kuhan Mein Aseer Hai Adam
Baghal Mein Uss Ki Hain Ab Tak Butan-e-Ehad-e-Ateeq

اسی طلسم کہن ميں اسير ہے آدم
بغل ميں اس کی ہيں اب تک بتان عہد عتيق

Mere Liye Tou Hai Iqrar-e-Bil-Lisan Bhi Bohat
Hazar Shukar Ke Mullah Hain Sahib-e-Tasdeeq

مرے ليے تو ہے اقرار باللساں بھی بہت
ہزار شکر کہ ملا ہيں صاحب تصديق

Agar Ho Ishq Tou Hai Kuffar Bhi Musalmani
Na Ho Tou Mard-e-Musalman Bhi Kafir-o-Zandeeq

اگر ہو عشق تو ہے کفر بھی مسلمانی
نہ ہو تو مرد مسلماں بھی کافر و زنديق

15 thoughts on “Hazar Khof Ho Lekin Zuban Ho Dil Ki Rafeeq – Allama Iqbal Poetry

  1. Pingback: blote tieten
  2. Pingback: Morpheus8
  3. Pingback: remisolleke
  4. Pingback: Jennifer
  5. Pingback: car detailing
  6. Pingback: Plinko App
  7. Pingback: nzt989
  8. Pingback: Aviator

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *