سليمی
Sulaima
جس کی نمود ديکھی چشم ستارہ بيں نے
خورشيد ميں ، قمر ميں ، تاروں کی انجمن ميں
Jis Ki Namood Dekhi Chasm-e-Sitara Been Ne
Khursheed Mein, Qamar Mein, Taron Ki Anjuman Mein
صوفی نے جس کو دل کے ظلمت کدے ميں پايا
شاعر نے جس کو ديکھا قدرت کے بانکپن ميں
Sufi Ne Jis Ko Dil Ke Zulmat Kade Mein Paya
Shayar Ne Jis Ko Dekha Qudrat Ke Bankpan Mein
جس کی چمک ہے پيدا ، جس کی مہک ہويدا
شبنم کے موتيوں ميں ، پھولوں کے پيرہن ميں
Jis Ki Chamak Hai Paida, Jis Ki Mehak Haweda
Shabnam Ke Motiyon Mein, Phoolon Ke Pairhan Mein
صحرا کو ہے بسايا جس نے سکوت بن کر
ہنگامہ جس کے دم سے کاشانہ چمن ميں
Sehra Ko Hai Basaya Jis Ne Sukoot Ban Kar
Hangama Jis Ke Dam Se Kashana-e-Chaman Mein
ہر شے ميں ہے نماياں يوں تو جمال اس کا
آنکھوں ميں ہے سليمی تيری کمال اس کا
Har Shay Mein Hai Namayan Yun To Jamal Uss Ka
Ankhon Mein Hai Sulema! Teri Kamal Uss Ka
Wisal- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | وصال
Chand Aur Tare- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | چاند اور تارے
9 thoughts on “Sulaima- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | سليمی”