Wo Kamaal-E-Husn-E-Huzoor Hai
Wo Kamaal-E-Husn-E-Huzoor Hai Keh Gumaan-E-Naqs Jahaan Nahi
Yahi Phool Khaar Say Duur Hay Yay-Hee Sham’a Hai Kay Dhu-Aan Nahi
وہ کمال حسن حضور ہے کہ گمان نقص جہاں نہیں
Do Jahan Ki Behtariyan Nahi Ke Amaniye Dilo Jaan Nahi
Kaho Kya Hain Wo Jo Yaha Nahi Magar Ik Nahi Ki Wo Haan Nahi
دو جہاں کی بہتریاں نہیں کہ امانی ٴ دل و جاں نہیں
BaKhuda Khuda Ka Yahi Hai Darr Nahin Aur Koi Maffar Maqqar
Jo Wahaan Say Ho Yaheen Aakay Ho Joe Yahaan Naheen Tou Wahan Nahi
بخدا خدا کا یہی در ہے نہیں اور کوئی مفر مقر
Hain Unhi Ke Noor Se Sab Ayaan Hain Unhi Ke Jalwo Me Sab Nihaan
Bane Subha Taabishe Mehar Se Rahe Peshe Mehar Yeh Jaan Nahi
ہے انہیں کے نور سے سب عیاں ہے انہیں کے جلوہ میں سب نہاں
Wohi Noor E Haq Wahi Jille Rab Hain Unhi Se Sab Hain Unhi Ka Sab
Nahi Unki Milk Mein Aasmaan Ki Jameen Nahi Ki Jamaan Nahi
وہی نور حق وہی ظل رب ہے انہیں سے سب ہے انہیں کا سب
Tere Aagay Youn Hayn Dabbay Lachay Fu-Saha A’rab Kay Barray Barray
Ko-Ee Jaanay Muh Mayn Zubaan Naheen Naheen Balkay Jism Mein Jaan Nahi
ترے آگے یوں ہیں دبے لچے فصحا عرب کے بڑے بڑے
Wohi Laa Makaan Ke Makeen Huay Sar-E-‘Arsh Takht Nasheen Huay
Wo Nabee Hai Jiss Ke Hain Yay Makaan Wo Khuda Hai Jiss Ka Makaan Nahi
وہی لامکاں کے مکیں ہوئے سر عرش تخت نشیں ہوئے
Sar-E-‘Arsh Per Hai Teree Guzar Dil-E-Farsh Per Hai Teree Nazar
Malakoot-O-Mulk Mayn Ko-Ee Shay Naheen Wo Tujh Pay A’yaan Nahi
سر عرش پر ہے تری گزر دل فرش پر ہے تری نظر
Karoon Teray Naam Pay Jaan Fida Na Buss Aik Jaan Dou Jahaan Fida
Dou Jahaan Say Bhee Naheen Jee Bharaa Karoon Kiya Karoroon Jahaan Nahi
کروں تیرے نام پہ جاں فدا نہ بس ایک جاں دو جہاں فدا
Karoon Madhay Ahle-E-Doel Raza Parray Iss Bala Meyn Meyree Balaa
Meyn Gada Hoon Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-E-Naan Nahi
کروں مدح اہل دول رضا پڑے اس بلا میں میری بلا
11 thoughts on “Wo Kamaal-E-Husn-E-Huzoor Hai – Naat Lyrics in Urdu”