Naimatain Bant’ta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya
Naimatain Bant’ta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya,
Saath Hi Munshiaey Rehmat Ka Qalam Daan Gaya
ساتھ ہی منشیء رحمت کا قلمدان گیا
Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhiyaan Gaya
Mere Maula Mere Aqa Tere Qurbaan Gaya
میرے مولیٰ مِرے آقا ترے قربان گیا
Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Say Ma’moor Raha
Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya
سر ہے وہ سر جو ترے قدموں پہ قربان گیا
Unhein Jana Unhein Mana Na Rakhha Ghair Se Kaam
Lillah Al Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya
للہِ الحمد میں دنیا سے مسلمان گیا
Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse
Phir Na Maanege Qayamat Mein Agar Maan Gaya
پھر نہ مانیں گے قیامت میں اگر مان گیا
Aah Woh Aankh Ke Nakaame Tamanna Hi Rahi
Hai Woh Dil Jo Tere Dar Se Pur Arman Gaya
ہائے وہ دل جو تِرے در سے پُر ارمان گیا
Aur Tum Par Mere Aqa Ki Inayat Na Sahi
Najdiyo! Kalmah Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya
نجدیو! کلمہ پڑھانے کا بھی احسان گیا
Uff Ray Munkar Yeh Badha Joshe Ta’assub Akhir
Bheed Me Haath Se Kam Bakht Ke Imaan Gaya
بِھیڑ میں ہاتھ سے کم بخت کے ایمان گیا
Jaan O Dil Hosh Wa Khirad Sab To Madinay Pahonche
Tum Nahi Chalte Raza Sara To Samaan Gaya
جان و دل ہوش و خرد سب تو مدینے پہنچے
تم نہیں چلتے رضا ، سارا تو سامان گیا
از امام احمد رضا خان بریلوی
Aye Ishq-E-Nabi Mere Dil Mai Bhi Sama Jana [Lyrics]
10 thoughts on “Naimatain Bant’ta Jis Simt Woh Zeeshaan Gaya – {Naat Lyrics}”