Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par [Naat Lyrics]
Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par Saja Saja Kar
Bahaar Luuttain Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar
چلو دیارِ نبیﷺ کی جانب درود لب پر سجا سجا کر
بہار لوٹیں گے ہم کرم کی دلوں کو دامن بنا بنا کر
Na Un Ke Jesa Sakhi Hei Koii Na Un Ke Jesa Ghani Hei Koii
Wo Be-Nawa-O Ka Har Jaga Se Nawaazte Hein Bula Bula Kar
نہ ان کے جیسا سخی ہے کوئی نہ ان کے جیسا غنی ہے کوئی
وہ بے نواؤں کو ہر جگہ سے نوازتے ہیں بلا بلا کر
Hei Unki Ummat Se Pyaar Kitna Karam Hei Rahmat Sha’aar Kitna
Hamaare Jurmon Ko Dho Rahe Hein Wo Apne Aansu Baha Baha Kar
ہے ان کو امت سے پیار کتنا کرم ہے رحمت شعار کتنا
ہمارے جرموں کو دھو رہے ہیں حضور آنسو بہا بہا کر
Yahi Asaas-E-Amal Hei Meri Issi Se Bigrri Bani Hei Meri
Samett-Ta Hun Karam Khuda Ka Nabi Ki Naatain Suna Suna Kar
یہی اساسِ عمل ہے میری اسی سے بگڑی بنی ہے میری
سمیٹتا ہوں کرم خدا کا نبیﷺ کی نعتیں سنا سنا کر
Wo Raahain Ab Tak Saji Huii Hein Dilon Ka Kaaba Bani Huii Hein
Jahaan Jahaan Se Huzur Guzre Hein Naqsh Apna Jama Jama Kar
وہ راہیں اب تک سجی ہوئی ہیں دلوں کا کعبہ بنی ہوئی ہیں
جہاں جہاں سے حضورﷺ گزرے ہیں نقش اپنا جما جما کر
Agar Muqaddar Ne Yaawri Ki Agar Madine Gya Mein Khaalid
Qadam Qadam Khaak Uss Gali Ki Mein Chuum Lun Ga Uttha Uttha Kar
اگر مقدر نے یاوری کی اگر مدینے گیا میں خالدؔ
قدم قدم خاک اس گلی کی میں چوم لوں گا اٹھا اٹھا کر
شاعر: خالد محمود خالد
- Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke [Naat Lyrics in Urdu]
- Lahad Mein Ishqe Rukhe Shah Ka Daagh [Naat Lyrics in Urdu]
- Wo Suey La Lazaar Phirte Hain [Ala-Hazrat Naat Lyrics in Urdu]
Chalo Diyare Nabi Ki Janib | Ramzan Naat 2019 | Owais Raza Qadri
9 thoughts on “Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par [Naat Lyrics]”