Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke [Naat Lyrics in Urdu]
Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke, Maqsad Bhi Zubaa Par Aaya Nahi
Bin Maange Diya Aur Itna Diya, Daaman Mei Hamaare Samaaya Nahi
قربان میں اُن کی بخشش کے مقصد بھی زباں پر آیا نہیں
بن مانگے دیا اور اتنا دیا دامن میں ہمارے سمایا نہیں
Imaan Mila Un Ke Sadqe, Quran Mila Un Ke Sadqe
Rehmaan Mila Un Ke Sadqe, Woh Kya Hai Jo Ham Ne Paaya Nahi
ایمان ملا اُن کے صدقے قرآن ملا اُن کے صدقے
رحمٰن ملا اُن کے صدقے وہ کیا ہے جو ہم نے پایا نہیں
Aawaaz Karam Deta Hi Raha, Thak Haar Gaye Lene Waale
Mangto Ki Hameshaah Laaj Rakhi, Mehroom Kabhi Lautaaya Nahi
آواز کرم دیتا ہی رہا تھک ہار گئے لینے والے
منگتوں کی ہمیشہ لاج رکھی محروم کبھی لوٹایا نہیں
Un Ka To Shiyaar Karimi Hai, Maa-Il Ba Karam Hi Rehte Hai
Jab Yaad Kiya Aey Salle Ala, Woh Aahi Gaye Tadpaaya Nahi
اُن کا تو شعار کریمی ہے مائل بہ کرم ہی رہتے ہیں
جب یاد کیا اے صل علی وہ آ ہی گئے تڑپایا نہیں
Khurshid Qiyaamat Ki Tapish, Maana Ke Qiyaamat Hi Hogi
Ham Un Ke Hai Ghabraaei Kyo, Kya Ham Pe Nabi Ka Saayaah Nahi
خورشید قیامت کی تابش مانا کہ قیامت ہی ہوگی
ہم اُن کے ہیں گھبرائیں کیوں کیا ہم پہ نبی کا سایہ نہیں
Us Mohsane Azam Ke Yu To, Khalid Pe Hazaro Ehsaan Hai
Qurbaan Magar Is Ehsaan Ke, Ehsaan Bhi Kiya To Jataaya Nahi
اُس محسنِ اعظم کے یوں تو خالد پہ ہزاروں احساں ہیں
قربان مگر اُس احساں کے احساں بھی کیا تو جتایا نہیں
شاعر : خالد محمود خالد
- Koi Saleeqa Hai Aarzoo Ka [Naat Lyrics In Urdu]
- Lahad Mein Ishqe Rukhe Shah Ka Daagh [Naat Lyrics in Urdu]
- Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada [Naat Lyrics In Urdu]
Qurban main unki bakhshish k by Alhaaj Owais Raza qadri sahab
4 thoughts on “Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke [Naat Lyrics in Urdu]”