Lab Per Naat-E-Pak Ka Naghma – Naat Lyrics In Urdu

Lab Per Naat-E-Pak Ka Naghma – Naat Lyrics In Urdu

Lab Per Naat-E-Pak Ka Naghma – Naat Lyrics In Urdu

Lab Per Naat-E-Pak Ka Naghma Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
Mere Nabi Se Mera Rishta Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

لب پر نعت پاک کا نغمہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے
میرے نبی سے میرا رشتہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے

Aur Kissi Jaanib Kyun Jayein Aur Kissi Ko Kyun Dekhein
Apna Sab Kuch Gumbad-E-Khizra Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
 
اور کسی جانب کیوں جائیں اور کسی کو کیوں دیکھیں
اپنا سب کچھ گنبدِ خضری کل بھی تھا اور آج بھی ہے
 
Passt Woh Kaisay Ho Sakta Hai Jiss Ko Haq Ne Buland Kiya
Dono Jahan Mein Unka Charcha Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
 
پست و ہ کیسے ہوسکتا ہے جس کو حق نے بلند کیا
دونوں جہاں میں ان کا چرچا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
 
Batlado Ye Har Dushman-E-Deen Ko Ghairat-E-Muslim Zinda Hai
Deen Per Mar Mitne Ka Jazba Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai
 
بتلا دو گستاخ نبی کو غیرت مسلم زندہ ہے
دین پہ مر مٹنے کا جذبہ کل بھی تھا اور آج بھی ہے

Jinn Aankhon Se Taiba Dekha Woh Ankhein Betaab Hai Phir
Inn Ankhon Mein Aik Taqaza Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

جن آنکھوں سے طیبہ دیکھا وہ آنکھیں بے تاب ہیں پھر
ان آنکھوں میں ایک تقاضا کل بھی تھا اور آج بھی ہے

Sab Ho Aaye Un Ke Dar Se Jaa Na Saka Tou Aik Sabhi
Ye Ke Aik Tasweer-E-Tamanna Kal Bhi Tha Aur Aaj Bhi Hai

سب ہو آئے ان کے در سے جا نہ سکا تو ایک صبیح
یہ کہ اک تصویر تمنا کل بھی تھا اور آج بھی ہے
 
 
سید صبیح الدین رحمانی۔
 

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *