Na Kahin Se Door Hain Manzilein,Na Koi Qareeb Ki Baat Hai (Lyrics)

Na Kahin Se Door Hain Manzilein – Urdu Naat (Lyrics)

Na Kahin Se Door Hain Manzilein

Urdu Naat (Lyrics)

Na Kahin Se Door Hain Manzilein,Na Koi Qareeb Ki Baat Hai
Jise Chahay Uss Ko Nawaz De, Ye Dar-E-Habib Ki Baat Hai

نہ کہیں سے دور ہیں منزلیں نہ کوئی قریب کی بات ہے
جسے چاہیں اس کو نواز دیں یہ درِحبیبﷺ کی بات ہے

Jisay Chaha Dar Pe Bulaa Liya, Jisay Chaha Apna Bana Liya
Ye Baray Karam Ke Hain Faisle, Ye Baray Naseeb Ki Baat Hai

جسے چاہا در پہ بلالیا ، جسے چاہا اپنا بنا لیا
یہ بڑے کرم کے ہیں فیصلے ، یہ بڑے نصیب کی بات ہے

Woh Machal Ke Raah Main Reh Gayi, Ye Machal Ke Darr Se Lipat Gayi
Woh Kisi Ameer Ki Shaan Thi, Ye Kisi Ghareeb Ki Baat Hai

وہ مچل کے راہ میں رہ گئی ، یہ تڑپ کے در سے لپٹ گئی
وہ کسی امیر کی آہ تھی، یہ کسی غریب کی بات ہے

Tujhe Ayee Munaware-Be-Nawaa, Dar-E-Sheh Se Chahiye Aur Kya
Jo Naseeb Ho Kabhi Samna, To Bade Naseeb Ki Baat Hai

تجھے اے منور بے نوا در شاہ سے چاہیے اور کیا
جو نصیب ہو کبھی سامنا تو بڑے نصیب کی بات ہے

Na Kahin Se Door Hain Manzilein,Na Koi Qareeb Ki Baat Hai
Jise Chahay Uss Ko Nawaz De, Ye Dar-E-Habib Ki Baat Hai

نہ کہیں سے دور ہیں منزلیں نہ کوئی قریب کی بات ہے
جسے چاہیں اس کو نواز دیں یہ درِحبیبﷺ کی بات ہے

شاعر : منور بدایونی

 

 

Na Kahin Se Door Hain Manzilain Naat Sharif By Qari Waheed Zafar Qasmi

 

3 thoughts on “Na Kahin Se Door Hain Manzilein – Urdu Naat (Lyrics)

  1. Pingback: check this

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *