Ye Kehti Thi Ghar Ghar Mein Ja Kar Haleema [Lyrics]

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Mein Ja Kar Haleema [Lyrics]

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Mein Ja Kar Haleema

Naat Lyrics

Ye Kehti Thi Ghar Ghar Mein Ja Kar Haleema
Mere Ghar Mein Khairul Waraa ﷺ Aa Gaye Hai
Bade Auj Par Hai Mera Ab Muqaddar
Mere Ghar Rasool E Khuda ﷺ Aa Gaye Hai

یہ کہتی تھی گھر گھر میں جا کر حلیمہ
میرے گھر میں خیرالورٰی ﷺ آ گئے ہیں
بڑے اُوج پر ہے میرا اب مقدر
میرے گھر حبیب خدا ﷺ آ گئے ہیں

Uthi Chaarsu Rehmato Ki Ghataye
Mu-Attar Mu-Attar Hai Saari Fazae
Khushi Me Ye Jibreel Nagme Sunaye
Wo Sha-Faye Rouze Jaza ﷺ Aa Gaye Hai

 
اٹھی چار سو رحمتوں کی گھٹائیں
معطر معطر ہیں ساری فضائیں
خوشی میں یہ جبرائیل نغمے سنائیں
وہ شافع روز جزاء ﷺ آ گئے ہیں
 
Ye Zulmat Se Kehdo Andhere Uthale
Ke Hai Har Taraf Ab Ujale Ujale
Kaha Jinko Haq Ne Sirajammuneera
Mere Ghar Wo Noor E Khuda ﷺ Aa Gaye Hai
 
یہ ظلمت سے کہہ دو ڈیرے اُٹھا لے
کہ ہیں ہر طرف اب اُجالے اُجالے
کہا جن کو حق نے سراج منیرا
میرے گھر وہ نور خدا ﷺ آ گئے ہیں
 
Ye Sunkar Sakhee Aapka ﷺ Aastaana
Hai Daaman Pasare Hue Sab Zamana
Nawaso Ka Sadqa Nigah E Karam Ho
Tere ﷺ Dar Pe Tere Gada Aa Gaye Hai
 
یہ سن کر سخی آپ ﷺ کا آستانہ ہے
دامن پسارے ہوئے سب زمانہ
نواسوں کا صدقہ نگاہ کرم ہو
تیرے ﷺ در پہ تیرے گدا آ گئے ہیں
 
Mukarrab Hai Be-Shaq Khaleelo Najee Bhi
Badi Shaan Waale Kaleemo Maseeh Bhi
Liye Arsh Ne Jinke Qadmo Ke Bouse
Wo Ummi Laqab Mustafa ﷺ Aa Gaye Hai
 
مقرب ہیں بیشک خلیل و ذبیح بھی
بڑی شان والے کلیم و مسیح بھی
لیئے عرش نے جن کے قدموں کے بوسے
وہ امی لقب مصطفٰی ﷺ آ گئے ہیں
 
Nakirain Jab Meri Turbat Mein Aa Kar
Kahenge Ziyarat Ka Muzdah Suna Kar
Utho Behre Ta’azeem Noorul Hasan Ab
Lahad Me Rasool E Khuda ﷺ Aa Gaye Hai
 
نکیرین جب میری تربت میں آ کر
کہیں گے زیارت کا مذدعا سنا کر
اُٹھو بحر تعظیم نور الحسن اب
لحد میں رسول خدا ﷺ آ گئے ہیں
 

 

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *