Betha Hoon Masjid-E-Nabvi Mein
Khusbuain Peham Aati Hain
Betha Hoon Masjid-E-Nabvi Mein
Yoon Sansein Mehki Mehki Hain
Betha Hoon Masjid-E-Nabvi Mein
خوشبوئیں پیہم آتی ہیں
بیٹھا ہوں مسجدِ نبویّ میں
یوں سانسیں مہکی مہکی ہیں
بیٹھا ہوں مسجدِ نبویّ میں
Mehsoos Huwa Hai Youn Mujh Ko
Ke Shehr-E-Noor Mein Betha Hoon
Kya Noor Ki Kirnain Utri Hain
Betha Hoon Masjid-E-Nabvi Mein
محسوس ہوا ہے یوں مجھ کو
کہ شہرِ نور میں بیٹھا ہوں
کیا نور کی کرنیں اتری ہیں
بیٹھا ہوں مسجدِ نبویّ میں
Mashghool Duroodon Mein Hoon Kabhi
Masroof Duaon Mein Hoon Kabhi
Naatein Bhi Laboun Par Rehti Hain
Betha Hoon Masjid-E-Nabvi Mein
مشغول دردودوں میں ہوں کبھی
مصروف دعاوں میں ہوں کبھی
نعتیں بھی لبوں پر رہتی ہیں
بیٹھا ہوں مسجدِ نبویّ میں
Ramazan Ki Baharain Aayi Hain
Bakhshish Ka Mujda Laayi Hain
Rehmat Ki Gatha’ain Barsi Hain
Betha Hoon Masjid E Nabvi Mein
Nazrain Hain Gumbad-E-Khazra Par
Hathoun Mein Khajoor Madinay Ki
Iftar Ki Ghadiyan Aayi Hain
Betha Hoon Masjid E Nabvi Mein
رمضان کی بہاریں آئی ہیں
بخشش کا مژدہ لائی ہیں
رحمت کی گھٹائیں برسی ہیں
بیٹھا ہوں مسجدِ نبویّ میں
Iftar Mein Dastarqan Sajay
Sehri Ki Ronaq Kya Kehna
Jannat Ki Hawa’ain Chalti Hain
Betha Hoon Masjid E Nabvi Mein
افطار میں دسترخوان سجے
سحری کی رونق کیا کہنا
جنت کی ہوائیں چلتی ہیں
بیٹھا ہوں مسجدِ نبویّ میں
Kya Baat Ujagar Hai Meri
Qismat Bhi Rashk Karay Mujh Per
Ke Samnay Yaawar O Haami Hain
Betha Hun Masjid E Nabvi Main
کیا بات اجاگر ہے میری
قسمت بھی رشک کرے مجھ پر
کہ سامنے یاور و حامی ہے
بیٹھا ہوں مسجدِ نبویّ میں
- Sar Sue Rouza Jhuka Phir Tujhko Kya [Lyrics]
- Shukr E Khuda Keh Aaj Ghadi Us Safar Ki – Lyrics
- Jab Gumbad-E-Khizra Pe Woh Pehli Nazar Gayi [Lyrics]
- Huzoor Aisa Koi Intizam Ho Jaye – [Naat Lyrics]
Betha Hoon Masjid E Nabvi Main | Mahmood Ul Hassan Ashrafi