Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu - Islamic Quotes | حسن البصري

Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu – Islamic Quotes | حسن البصري

Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu – Islamic Quotes

Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu - Islamic Quotes | حسن البصري

دنیا کا عذاب یہ ہے کہ تمہارا دل مردہ ہو جائے۔

Duniya ka azaab yeh hai ke tumhara dil murda ho jaye۔

عقلمند بولنے سے پہلے اور بے وقوف بولنے کے بعد سوچتا ہے۔

Aqalmand bolnay se pehlay aur be waqoof bolnay ke baad sochta hai.

Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu - Islamic Quotes | حسن البصري

آنکھوں اور زبان کی آزادی روح کے لیے قید ہے۔

Aankhon aur zabaan ki azadi rooh ke liye qaid hai.

جو شخص تم سے دوسروں کی عیوب بیان کرتا ہے وہ یقیناً دوسروں کے سامنے تمہاری برائی بھی کرتا ہے ۔

Jo shakhs tum se doosron ki ayob bayan karta hai woh yaqeenan doosron ke samnay tumhari buraiee bhi karta hai.

Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu - Islamic Quotes | حسن البصري

جس کے اندر نفاق نہیں وہ دنیا کی کسی شے کو اپنے دل میں جگہ نہیں دیتا۔

Jis ke andar nifaq nahi woh duniya ki kisi shai ko apne dil mein jagah nahi deta.

Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu – Islamic Quotes:

صبر دو طرح کا ہوتا ہے ایک صبر کو جب مصائب و بلا کے اندر کیا جائے دوسرا صبر ان چیزوں سے ہے جن سے ہمیں باز رہنے کا حکم اللہ تعالیٰ کی طرف سے ملا ان سے اطاعت حکم کرتے ہوئے رکنا اور خواہشات کے خلاف صبر کرنا۔

Sabr do terhan ka hota hai aik sabr ko jab masaaib o bulaa ke andar kya jaye dosra sabr un cheezon se hai jin se hamein baz rehne ka hukum Allah taala ki taraf se mila un se itaat hukum karte hue rukna aur khwahisaat ke khilaaf sabr karna.

جو بد بختوں میں رہے گا،نیکوں کی جماعت سے اور ان کے پیشواؤں سے بدگمان بند ہو جائے گا ۔

Jo bad bakhton mein rahay ga, naikiyo ki jamaat se aur un ke pishwaon se badgumaan band ho jaye ga.

جو شریر لوگوں سے محبت رکھے گا وہ اپنی شرارت سے نفس کے مطابق ہوگا اور اگر اس میں بھلائی ہوگی تو وہ اخیار کے ساتھ صحبت پسند کرے گا۔

Jo shareer logon se mohabbat rakhay ga woh apni shararat se nafs ke mutabiq hoga aur agar is mein bhalai hogi to woh Akhyar ke sath sohbat pasand kere ga.

تین افراد کی غیبت جائز بلکہ امر ثواب ہے،اول لالچی کی، دوئم فاسق کی، ظالم بادشاہ کی۔

Teen afraad ki gheebat jaaiz balkay amar sawab hai, awwal laalchi ki, doyam fasik ki, zalim badshah ki.

تمہارے بھائیوں میں سب سے زیادہ قابل عزت وہ ہے جس سے آپ کی دوستی ہمیشہ رہے۔

Tumahray bhaiyon mein sab se ziyada qabil izzat woh hai jis se aap ki dosti hamesha rahay.

Hazrat Umer bin Abdul Aziz Qoutes in Urdu:

 

جب تجھے چپ رہنے کی خواہش ہو تو اس وقت بول اور جب تجھے گفتگو کرنے کی خواہش ہو اس وقت چپ رہ ۔

Jab tujhe chup rehne ki khwahish ho to is waqt bol aur jab tujhe guftagu karne ki khwahish ho is waqt chup reh.

اپنے آرزؤں کو دل میں مار ڈالو اور دلوں کو ان میں مرنے نہ دو۔

Apne aarzuon ko dil mein maar daalo aur dilon ko un mein marnay nah do.

مذاق (تمسخر) کی بدولت آپس میں کینہ اور فساد پیدا ہوتا ہے۔

Mazaaq ( tamaskhur ) ki badolat aapas mein keena aur fasaad peda hota hai.

جو ہنستے ہوئے گناہ کرتا ہے وہ روتے ہوئے جہنم میں جائے گا۔

Jo hanstay hue gunah karta hai woh rotay hue jahannum mein jaye ga.

4 thoughts on “Hazrat Hasan Basri Quotes in Urdu – Islamic Quotes | حسن البصري

  1. Pingback: sex hiep dam
  2. Pingback: Bilad Alrafidain
  3. Pingback: ระบบ ERP

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *