Mere Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai
Urdu Naat Lyrics
Mere Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai
Do Jahaan Ke Dataa Hain Sara Jag Sawali Hai
میرے کملی والے کی شان ہی نرالی ہے
Khuld Jis Ko Kehtey Hain Meri Dekhi Bhali Hai
Sabz Sabz Gumbad Hai Aur Sunehri Jaali Hai
خلد جس کو کہتے ہیں میری دیکھی بھالی ہے
Chand Ki Tarah Un Ko Ham Kahain To Mujrim Hain
Kyun Keh Un Ki Chowkat Peh Chaand Bhi Sawali Hai
چاند کی طرح ان کو ہم کہیں تو مجرم ہیں
Chaa’on Mehki Mehki Hai Dhoop Thandi Thandi Hai
Shehr E Mustafa Teri Baat Hii Niraali Hai
چھاوؔں مہکی مہکی ہے دھوپ ٹھندی ٹھندی ہے
Woh Bilaal Habshi Hoon Yaa Owais Qarani Hoon
Un Peh Marney Waaloon Ki Har Adaa Niraali Hai
وہ بلال حبشی ہوں یا اویس قرنی ہوں
Har Taraf Madiine Main Bhirh Hai Faqiron Ki
Aik Denay Walaa Hai Sara Jag Sawaali Hai
ہر طرف مدینے میں بھیڑ ہے فقیروں کی
Ham Gunahgaron Ko Rab Seh Bakhshwaa Lain Ge
Un Ke Rab Ne Kab An Kii Koi Baat Taali Hai
ہم گناہ گاروں کو رب سے بخشوالیں گے
شاعر: راز الہ آبادی
- Chalo Diyaar-E-Nabi Ki Jaanib Durood Lab Par [Naat Lyrics]
- Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke [Naat Lyrics in Urdu]
- Lahad Mein Ishqe Rukhe Shah Ka Daagh [Naat Lyrics in Urdu]
Meray Kamli Walay ki Mahmood Ul Hassan Ashrafi
14 thoughts on “Mere Kamli Walay Ki Shaan Hi Nirali Hai [Urdu Naat Lyrics]”