Soz E Dil Chahiye Chashm E Nam Chahiye
Soz E Dil Chahiye Chashm E Nam Chahiye, Or Shoq E Talab Moatbar Chahiye
Ho Muyassar Madine Ki Galiyan Agar, Aankh Kafi Nahi Hai Nazar Chahiye
سوزِ دل چاہیے، چشمِ نم چاہیے اور شوقِ طلب معتبر چاہیے
ہوں میسر مدینے کی گلیاں اگر، آنکھ کافی نہیں ہے نظر چاہیے
Un Ki Mehfil Ke Adaab Kuch Or Hain, Lab Kushai Ki Jurrat Munasib Nahi
Un Ki Sarkar Mein Iltaja Ke Liye, Janbish E Lab Nahi Chashm E Tar Chahiye
ان کی محفل کے آداب کچھ اور ہیں، لب کشائی کی جرات مناسب نہیں
Apni Roodad E Gham Main Sunaon Kise, Mere Dukh Ko Koi Or Samjhe Ga Kya
Jis Ki Khaak E Qadam Bhi Hai Khaak E Shifa, Mere Zakhmon Ko Wo Chara Gar Chahiye
اپنی رو داد غم میں سناوؔں کسے، میرے دکھ کو کوئی اور سمجھے گا کیا
Mai Gadaye Dar E Shah E Konain Hoon, Sheesh Mehlon Ki Mujh Ko Tamanna Nahi
Ho Muyassar Zameen Par Keh Zer E Zameen, Mujh Ko Taiba Mein Ek Apna Ghar Chahiye
میں گدائے درِ شاہِ کونین ہوں، شیش محلوں کی مجھ کو تمنّا نہیں
In Naye Raston Ki Nayi Roshni, Hum Ko Raas Ayi Hai Or Na Raas Aye Gi
Hum Ko Khoi Hui Roshni Chahiye, Hum Ko Aaen E Khirul Bashar Chahiye
ان نئے راستوں کی نئی روشنی، ہم کو راس آئی ہے اور نہ راس آئے گی
Midhat E Shah Kon O Makaan Ke Liye, Sirf Lafz O Bayaan Ka Sahara Na Lo
Fun E Shayari Hai Iqbal Apni Jagah, Naat Kehne Ko Khoon E JIgar Chahiye
مدحتِ شاہِ کون و مکاں کے لیے صرف لفظ وبیاں کا سہارا نہ لو
Soz E Dil Chahiye Chashm E Nam Chahiye, Or Shoq E Talab Moatbar Chahiye
Ho Muyassar Madine Ki Galiyan Agar, Aankh Kafi Nahi Hai Nazar Chahiye
سوزِ دل چاہیے، چشمِ نم چاہیے اور شوقِ طلب معتبر چاہیے
3 thoughts on “Soz E Dil Chahiye Chashm E Nam Chahiye [Naat Lyrics in Urdu]”