Kya Ishq Aik Zindagi-e-Mastaar Ka
Allama Iqbal Poetry – Bal-e-Jibril
Kya Ishq Aik Zindagi-e-Mastaar Ka
Kya Ishq Paidar Se Na-Paidar Ka
کيا عشق ايک زندگئ مستعار کا
کيا عشق پائدار سے ناپائدار کا
Woh Ishq Jis Ki Shama Bujha De Ajal Ki Phoonk
Uss Mein Maza Nahin Tapish-o-Intizaar Ka
وہ عشق جس کی شمع بجھا دے اجل کی پھونک
اس ميں مزا نہيں تپش و انتظار کا
Meri Bisaat Kya Hai, Tab-o-Taab-e-Yak Nafas
Shole Se Bemehal Hai Ulajhna Sharaar Ka
ميری بساط کيا ہے ، تب و تاب يک نفس
شعلے سے بے محل ہے الجھنا شرار کا
Kar Pehle Mujh Ko Zindagi Javidan Atta
Phir Zauq-o-Shauq Dekh Dil-e-Beqarar Ka
کر پہلے مجھ کو زندگی جاوداں عطا
پھر ذوق و شوق ديکھ دل بے قرار کا
Kanta Woh De Ke Jis Ki Khatak La-zawal Ho
Ya Rab! Woh Dard Jis Ki Kasak La-zawal Ho
کانٹا وہ دے کہ جس کی کھٹک لازوال ہو
يارب ، وہ درد جس کی کسک لازوال ہو
Asar Kare Na Kare, Sun To Le Meri Faryad – Allama Iqbal Poetry
8 thoughts on “Kya Ishq Aik Zindagi-e-Mastaar Ka – Allama Iqbal Poetry”