Aqal Go Astan Se Door Nahin
Allama Iqbl Poetry (Bal-e-Jibril)
Aqal Go Astan Se Door Nahin
Iss Ki Taqdeer Mein Huzoor Nahin
عقل گو آستاں سے دور نہيں
اس کی تقدير ميں حضور نہيں
Dil-E-Beena Bhi Kar Khuda Se Talab
Ankh Ka Noor Dil Ka Noor Nahin
دل بينا بھی کر خدا سے طلب
آنکھ کا نور دل کا نور نہيں
Ilm Mein Bhi Suroor Hai Lekin
Ye Woh Jannat Hai Jis Mein Hoor Nahin
علم ميں بھی سرور ہے ليکن
يہ وہ جنت ہے جس ميں حور نہيں
Kya Ghazab Hai Kh Iss Zamane Mein
Aik Bhi Sahib-E-Suroor Nahin
کيا غضب ہے کہ اس زمانے ميں
ايک بھی صاحب سرور نہيں
Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Bhi Hai
Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Nahin
اک جنوں ہے کہ باشعور بھی ہے
اک جنوں ہے کہ باشعور نہيں
Na-Saboori Hai Zindagi Dil Ki
Aah Woh Dil K Na-Saboor Nahin
ناصبوری ہے زندگی دل کی
آہ وہ دل کہ ناصبور نہيں
Be-Huzoori Hai Teri Mout Ka Raaz
Zinda Ho Tu To Be-Huzoor Nahin
بے حضوری ہے تيری موت کا راز
زندہ ہو تو تو بے حضور نہيں
Har Guhar Ne Sadaf Ko Tor Diya
Tu Hi Amada’ay Zahoor Nahin
ہر گہر نے صدف کو توڑ ديا
تو ہی آمادہ ظہور نہيں
‘ARINI’ Mein Bhi Keh Raha Hon, Magar
Ye Hadees-E-Kaleem (A.S)-O-Toor Na
ارنی ميں بھی کہہ رہا ہوں ، مگر
يہ حديث کليم و طور نہيں
- Tazmeen Bar Shair-e-Abu Talib Kaleem- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry
- Shayar- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | شاعر
- Saqi- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | ساقی
5 thoughts on “Aqal Go Astan Se Door Nahin – Allama Iqbl Poetry (Bal-e-Jibril)”