Hujum-e-gham se yaan tak sar-niguni mujh ko hasil hai

Hujum-e-gham se yaan tak sar-niguni mujh ko hasil hai – Mirza Ghalib Poetry

Hujum-e-gham se yaan tak sar-niguni mujh ko hasil hai

ہجوم غم سے یاں تک سرنگونی مجھ کو حاصل ہے

 

hujum-e-gham se yaan tak sar-niguni mujh ko hasil hai
ki tār-e-dāman o tār-e-nazar meñ farq mushkil hai

ہجوم غم سے یاں تک سرنگونی مجھ کو حاصل ہے
کہ تار دامن و تار نظر میں فرق مشکل ہے

 

rafū-e-zaḳhm se matlab hai lazzat zaḳhm-e-sozan kī
samajhiyo mat ki pās-e-dard se dīvāna ġhāfil hai

رفوئے زخم سے مطلب ہے لذت زخم سوزن کی
سمجھیو مت کہ پاس درد سے دیوانہ غافل ہے

 

vo gul jis gulsitāñ meñ jalva-farmā.ī kare ‘ġhālib’
chaTaknā ġhuncha-e-gul kā sadā-e-ḳhanda-e-dil hai

وہ گل جس گلستاں میں جلوہ فرمائی کرے غالبؔ
چٹکنا غنچۂ گل کا صداۓ خندۂ دل ہے

 

huā hai māne-e-āshiq-navāzī nāz-e-ḳhud-bīnī
takalluf-bar-taraf ā.īna-e-tam.īz haa.el hai

ہوا ہے مانع عاشق نوازی ناز خود بینی
تکلف بر طرف آئینۂ تمئیز حائل ہے

 

ba-sail-e-ashk laḳht-e-dil hai dāman-gīr mizhgāñ kā
ġharīq-e-bahr jūyā-e-ḳhas-o-ḳhāshāk-e-sāhil hai

بہ سیل اشک لخت دل ہے دامن گیر مژگاں کا
غریق بحر جویائے خس و خاشاک ساحل ہے

 

bahā hai yaañ tak ashkoñ meñ ġhubār-e-kulfat-e-ḳhātir
ki chashm-e-tar meñ har ik pāra-e-dil pā-e-dar-gil hai

بہا ہے یاں تک اشکوں میں غبار کلفت خاطر
کہ چشم تر میں ہر اک پارۂ دل پائے در گل ہے

 

nikaltī hai tapish meñ bismiloñ kī barq kī shoḳhī
ġharaz ab tak ḳhayāl-e-garmī-e-raftār qātil hai

نکلتی ہے تپش میں بسملوں کی برق کی شوخی
غرض اب تک خیال گرمیٔ رفتار قاتل ہے

 

 

Vusat-e-sai-e-karam dekh ki sar-ta-sar-e-khak – Mirza Ghalib Poetry

Husn-e-be-parva kharidar-e-mata-e-jalva hai – Mirza Ghalib Poetry

8 thoughts on “Hujum-e-gham se yaan tak sar-niguni mujh ko hasil hai – Mirza Ghalib Poetry

  1. Pingback: university
  2. Pingback: live shows

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *