Aqal Go Astan Se Door Nahin - Allama Iqbl Poetry (Bal-e-Jibril)

Aqal Go Astan Se Door Nahin – Allama Iqbl Poetry (Bal-e-Jibril)

Aqal Go Astan Se Door Nahin

Allama Iqbl Poetry (Bal-e-Jibril)

Aqal Go Astan Se Door Nahin
Iss Ki Taqdeer Mein Huzoor Nahin

عقل گو آستاں سے دور نہيں
اس کی تقدير ميں حضور نہيں

Dil-E-Beena Bhi Kar Khuda Se Talab
Ankh Ka Noor Dil Ka Noor Nahin

دل بينا بھی کر خدا سے طلب
آنکھ کا نور دل کا نور نہيں

Ilm Mein Bhi Suroor Hai Lekin
Ye Woh Jannat Hai Jis Mein Hoor Nahin

علم ميں بھی سرور ہے ليکن
يہ وہ جنت ہے جس ميں حور نہيں

Kya Ghazab Hai Kh Iss Zamane Mein
Aik Bhi Sahib-E-Suroor Nahin

کيا غضب ہے کہ اس زمانے ميں
ايک بھی صاحب سرور نہيں

Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Bhi Hai
Ek Junoon Hai K Ba-Shaur Nahin

اک جنوں ہے کہ باشعور بھی ہے
اک جنوں ہے کہ باشعور نہيں

Na-Saboori  Hai Zindagi Dil Ki
Aah Woh Dil K Na-Saboor Nahin

ناصبوری ہے زندگی دل کی
آہ وہ دل کہ ناصبور نہيں

Be-Huzoori Hai Teri Mout Ka Raaz
Zinda Ho Tu To Be-Huzoor Nahin

بے حضوری ہے تيری موت کا راز
زندہ ہو تو تو بے حضور نہيں

Har Guhar Ne Sadaf Ko Tor Diya
Tu Hi Amada’ay Zahoor Nahin

ہر گہر نے صدف کو توڑ ديا
تو ہی آمادہ ظہور نہيں

‘ARINI’ Mein  Bhi Keh Raha Hon, Magar
Ye Hadees-E-Kaleem (A.S)-O-Toor Na

ارنی ميں بھی کہہ رہا ہوں ، مگر
يہ حديث کليم و طور نہيں

 

5 thoughts on “Aqal Go Astan Se Door Nahin – Allama Iqbl Poetry (Bal-e-Jibril)

  1. Pingback: carts for sale
  2. Pingback: sand boas for sale

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *