Gaisuay Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar
Allama Iqbal Poetry | Bal-e-Jibril
Gaisuay Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar
Hosh-o-Khirad Shakar Kar, Qalb-o-Nazar Shakar Kar
گيسوئے تاب دار کو اور بھی تاب دار کر
ہوش و خرد شکار کر ، قلب و نظر شکار کر
Ishq Bhi Ho Hijab Mein, Husn Bhi Ho Hijab Mein
Ya Tu Khud Ashkar Ho Ya Mujhe Aashkar Kar
عشق بھی ہو حجاب ميں ، حسن بھی ہو حجاب ميں
يا تو خود آشکار ہو يا مجھے آشکار کر
Tu Hai Muheet-e-Bekaran, Mein Hun Zara Si Aabjoo
Ya Mujhe Hamkinar Kar Ya Mujhe Bekinar Kar
تو ہے محيط بے کراں ، ميں ہوں ذرا سی آبجو
يا مجھے ہمکنار کر يا مجھے بے کنار کر
Main Hun Sadaf Tou Tere Hath Mere Guhar Ki Abroo
Mein Hun Khazaf Tou Tu Mujhe Gohar-e-Shahwar Kar
ميں ہوں صدف تو تيرے ہاتھ ميرے گہر کی آبرو
ميں ہوں خزف تو تو مجھے گوہر شاہوار کر
Naghma’ay Nau Bahar Agar Mere Naseeb Mein Na Ho
Iss Dam-e-Neem Souz Ko Taeerak-e-Bahar Kar
نغمۂ نو بہار اگر ميرے نصيب ميں نہ ہو
اس دم نيم سوز کو طائرک بہار کر
Bagh-e-Bahisht Se Mujhe Hukam-e-Safar Diya Tha Kyun
Kaar-e-Jahan Daraz hai Ab Mera Intizar Kar
باغ بہشت سے مجھے حکم سفر ديا تھا کيوں
کار جہاں دراز ہے ، اب مرا انتظار کر
Roz-e-Hisab Jab Mera Paish Ho Daftar-e-Amal
Aap Bhi Sharamsaar Ho, Mujh Ko Bhi Sharamsaar Kar
روز حساب جب مرا پيش ہو دفتر عمل
آپ بھی شرمسار ہو ، مجھ کو بھی شرمسار کر
Tere Shishe Mein May Baqi Nahin Hai – Allama Iqbal Poetry
Agar Kaj Ro Hain Anjum, Asman Tera Hai Ya Mera – Allama Iqbal Poetry
Meri Nawa-e-Shauk Se Shor Hareem-e-Zaat Mein – Allama Iqbal
5 thoughts on “Gaisuay Tabdar Ko Aur Bhi Tabdar Kar – Allama Iqbal Poetry”