بچہ اور شمع
Bacha Aur Shama
کيسی حيرانی ہے يہ اے طفلک پروانہ خو
شمع کے شعلوں کو گھڑيوں ديکھتا رہتا ہے تو
Kaisi Hairani Hai Ye Ae Tiflak-e-Parwana Khu!
Shama Ke Shaolon Ko Ghariyon Dekhta Rehta Hai Tu
يہ مری آغوش ميں بيٹھے ہوئے جنبش ہے کيا
روشنی سے کيا بغل گيری ہے تيرا مدعا
Ye Meri Aghosh Mein Baithe Huwe Junbish Hai Kya
Roshni Se Kya Baghal Geeri Hai Tera Mudda
اس نظارے سے ترا ننھا سا دل حيران ہے
يہ کسی ديکھی ہوئی شے کی مگر پہچان ہے
Iss Nazare Se Tera Nanha Sa Dil Heeran Hai
Ye Kisi Dekhi Huwi Shay Ki Magar Pehchan Hai
شمع اک شعلہ ہے ليکن تو سراپا نور ہے
آہ! اس محفل ميں يہ عرياں ہے تو مستور ہے
Shama Ek Shaola Hai Lekin Tu Sarapa Noor Hai
Ah! Iss Mehfil Mein Ye Uryan Hai Tu Mastoor Hai
دست قدرت نے اسے کيا جانے کيوں عرياں کيا!
تجھ کو خاک تيرہ کے فانوس ميں پنہاں کيا
Dast-e-Qudrat Ne Isse Kya Jane Kyun Uryan Kiya!
Tujh Ko Khak-e-Teera Ke Fanoos Mein Pinhan Kiya
نور تيرا چھپ گيا زير نقاب آگہی
ہے غبار ديدۂ بينا حجاب آگہی
Noor Tera Chup Gya Zair-e-Naqab-e-Aaghi
Hai Ghubar-e-Didah-e-Beena Hijab-e-Aaghi
زندگانی جس کو کہتے ہيں فراموشی ہے يہ
خواب ہے، غفلت ہے، سرمستی ہے، بے ہوشی ہے يہ
Zindagaani Jis Ko Kehte Hain Faramoshi Hai Ye
Khawab Hai, Ghaflat Hai, Sar Masti Hai, Behoshi Hai Ye
محفل قدرت ہے اک دريائے بے پايان حسن
آنکھ اگر ديکھے تو ہر قطرے ميں ہے طوفان حسن
Mehfil-e-Qudrat Hai Ek Darye Be-Payan-e-Husn
Ankh Agar Dekhe To Har Qatre Mein Hai Toofan-e-Husn
حسن ، کوہستاں کی ہيبت ناک خاموشی ميں ہے
مہر کی ضوگستری، شب کی سيہ پوشی ميں ہے
Husn, Kohistan Ki Haibatnaak Khamoshi Mein Hai
Mehr Ki Zou Gastri, Shab Ji Siyah Poshi Mein Hai
آسمان صبح کی آئينہ پوشی ميں ہے يہ
شام کی ظلمت، شفق کی گل فرو شی ميں ہے يہ
Asman-e-Subah Ki Aaeena Poshi Mein Hai Ye
Sham Ki Zulmat, Shafaq Ki Gul Faroshi Mein Hai Ye
عظمت ديرينہ کے مٹتے ہوئے آثار ميں
طفلک ناآشنا کی کوشش گفتار ميں
Azmat-e-Dairina Ke Mitte Huwe Asaar Mein
Tiflak-e-Na Ashna Ki Koshish-e-Guftar Mein
ساکنان صحن گلشن کی ہم آوازی ميں ہے
ننھے ننھے طائروں کی آشياں سازی ميں ہے
Sakinan-e-Sehan-e-Gulshan Ki Hum Awazi Mein Hai
Nanhe Nanhe Taeeron Ki Ashiyan Saazi Mein Hai
چشمہ کہسار ميں ، دريا کی آزادی ميں حسن
شہر ميں، صحرا ميں، ويرانے ميں، آبادی ميں حسن
Chashma-e-Kuhsar Mein, Darya Ki Azadi Mein Husn
Shehr Mein, Sehra Mein, Weerane Mein, Abadi Mein Husn
روح کو ليکن کسی گم گشتہ شے کی ہے ہوس
ورنہ اس صحرا ميں کيوں نالاں ہے يہ مثل جرس
Rooh Ko Lekin Kisi Gum Gashta Shay Ki Hai Hawas
Warna Iss Sehra Mein Kyun Nalan Hai Ye Misl-e-Jaras
حسن کے اس عام جلوے ميں بھی يہ بے تاب ہے
زندگی اس کی مثال ماہی بے آب ہے
Husn Ke Iss Aam Jalwe Mein Bhiye Betaab Hai
Zindagi Iss Ki Misal-e-Maahi-e-Be Aab Hai
Aik Parinda Aur Jugnoo- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | ايک پرندہ اور جگنو
10 thoughts on “Bacha Aur Shama- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | بچہ اور شمع”