Khudi Ki Shokhi-O-Tundi Mein Kubr-O-Naaz Nahin - Allama Iqbal

Khudi Ki Shokhi-O-Tundi Mein Kubr-O-Naaz Nahin – Allama Iqbal

Khudi Ki Shokhi-O-Tundi Mein Kubr-O-Naaz Nahin

Allama Iqbal Poetry | Bal-e-Jibril

Khudi Ki Shokhi-O-Tundi Mein Kubr-O-Naaz Nahin
Jo Naaz Ho Bhi To Be-Lazzat-E-Niaz Nahin

خودی کی شوخی و تندی ميں کبر و ناز نہيں
جو ناز ہو بھی تو بے لذت نياز نہيں

Nigah-E-Ishq Dil-E-Zindah Ki Talash Mein Hai
Shikar-E-Murda Sazawar-E-Shahbaz Nahin

نگاہ عشق دل زندہ کی تلاش ميں ہے
شکار مردہ سزاوار شاہباز نہيں

Meri Nawa Main Nahin Hai Ada’ay Mehboobi
K Bang-E-Soor-E-Sarafeel Dil Nawaz Nahin

مری نوا ميں نہيں ہے ادائے محبوبی
کہ بانگ صور سرافيل دل نواز نہيں

Sawal-E-Mai Na Karoon Saqi-E-Farang Se Main
Ke Ye Tareeqa-E-Rindan-E-Pakbaz Nahin

سوال مے نہ کروں ساقی فرنگ سے ميں
کہ يہ طريقہ رندان پاک باز نہيں

Huwi Na Aam Jahan Mein Kabhi Hukumat-E-Ishq
Sabab Ye Hai K Mohabbat Zamana Saaz Nahin

ہوئی نہ عام جہاں ميں کبھی حکومت عشق
سبب يہ ہے کہ محبت زمانہ ساز نہيں

Ek Iztarab-E-Musalsal, Ghayaab Ho Ke Huzoor
Main Khud Kahoon To Meri Dastan Daraz Nahin

اک اضطراب مسلسل ، غياب ہو کہ حضور
ميں خود کہوں تو مری داستاں دراز نہيں

Agar Ho Zauq To Khalwat Mein Perh Zuboor-E-Ajam
Faghan-E-Neem Shabi Be-Nawa’ay Raaz Nahin

اگر ہو ذوق تو خلوت ميں پڑھ زبور عجم
فغان نيم شبی بے نوائے راز نہيں

 

3 thoughts on “Khudi Ki Shokhi-O-Tundi Mein Kubr-O-Naaz Nahin – Allama Iqbal

  1. Pingback: niraskin official
  2. Pingback: โคมไฟ

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *