رام
Raam
لبريز ہے شراب حقيقت سے جام ہند
سب فلسفی ہيں خطۂ مغرب کے رام ہند
Labraiz Hai Sharab-e-Haqiqat Se Jam-e-Hind
Sub Falsafi Hain Khita-e-Maghrib Ke Raam-e-Hind
يہ ہنديوں کے فکر فلک رس کا ہے اثر
رفعت ميں آسماں سے بھی اونچا ہے بام ہند
Ye Hindiyon Ke Fikr-e-Falak Ras Ka Hai Asar
Riffat Mein Asman Se Bhi Uncha Hai Baam-e-Hind
اس ديس ميں ہوئے ہيں ہزاروں ملک سرشت
مشہور جن کے دم سے ہے دنيا ميں نام ہند
Iss Dais Mein Huwe Hain Hazaron Malak Sarasht
Mashoor Jin Ke Dam Se Hai Dunya Mein Naam-e-Hind
ہے رام کے وجود پہ ہندوستاں کو ناز
اہل نظر سمجھتے ہيں اس کو امام ہند
Hai Raam Ke Wujood Pe Hindustan Ko Naaz
Ahl-e-Nazar Samajhte Hain Uss Ko Imam-e-Hind
اعجاز اس چراغ ہدايت کا ہے يہی
روشن تر از سحر ہے زمانے ميں شام ہند
Ejaz Uss Charagh-e-Hadayat Ka Hai Yehi
Roshan Tar Az Sehar Hai Zamane Mein Sham-e-Hind
تلوار کا دھنی تھا ، شجاعت ميں فرد تھا
پاکيزگی ميں ، جوش محبت ميں فرد تھا
alwar Ka Dhani Tha, Shujaat Mein Fard Tha
Pakeezgi Mein, Josh-e-Mohabbat Mein Fard Tha
5 thoughts on “Raam- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | رام”