Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin - Allama Iqbal

Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin – Allama Iqbal

Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin

Allama Iqbal Poetry

Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin
Tu Aabjoo Usse Samjha Agar To Chara Nahin

خودی وہ بحر ہے جس کا کوئی کنارہ نہيں
تو آبجو اسے سمجھا اگر تو چارہ نہيں

Tilism-e-Gunbad-e-Gardoon Ko Torh Sakte Hain
Zujaj Ki Ye Amarat Hai, Sang-e-Khara Nahin

طلسم گنبد گردوں کو توڑ سکتے ہيں
زجاج کی يہ عمارت ہے ، سنگ خارہ نہيں

Khudi Mein Doobte Hain Phir Ubhar Bhi Ate Hain
Magar Ye Hosla-e-Mard-e-Haichkarah Nahin

خودی ميں ڈوبتے ہيں پھر ابھر بھی آتے ہيں
مگر يہ حوصلہ مرد ہيچ کارہ نہيں

Tere Maqam Ko Anjum Shanas Kya Jane
Ke Khak-e-Zinda Hai Tu, Taba-e-Sitara Nahin

ترے مقام کو انجم شناس کيا جانے
کہ خاک زندہ ہے تو ، تابع ستارہ نہيں

Yahin Behisht Hi Hai, Hoor-o-Jibreel Bhi Hai
Teri Nigah Mein Abhi Shaukhi-e-Nazara Nahin

يہيں بہشت بھی ہے ، حور و جبرئيل بھی ہے
تری نگہ ميں ابھی شوخی نظارہ نہيں

Mere Junoon Ne Zamane Ko Khoob Pehchana
Woh Pairhan Mujhe Bakhsha Ke Para Para Nahin

مرے جنوں نے زمانے کو خوب پہچانا
وہ پيرہن مجھے بخشا کہ پارہ پارہ نہيں

Ghazab Hai, Ayin-e-Karam Mein Bukheel Hai Fitrat
Ke Laal-e-Naab Mein Atish To Hai, Sharara Nahin

غضب ہے ، عين کرم ميں بخيل ہے فطرت
کہ لعل ناب ميں آتش تو ہے ، شرارہ نہيں

6 thoughts on “Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin – Allama Iqbal

  1. Pingback: my page
  2. Pingback: BAU
  3. Pingback: cam models
  4. Pingback: online chat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *