Maktabon Mein Kahin Ra’anai-e-Afkar Bhi Hai?
Allama Iqbal Poetry
مکتبوں ميں کہيں رعنائی افکار بھی ہے؟
خانقاہوں ميں کہيں لذت اسرار بھی ہے؟
Maktabon Mein Kahin Raanayi-e-Afkaar Bhi Hai?
Khanqahon Mein Kahin Lazzat-e-Asrar Bhi Hai?
منزل راہرواں دور بھی ، دشوار بھی ہے
کوئی اس قافلے ميں قافلہ سالار بھی ہے؟
Manzil-e-Rahrawan Door Bhi, Dushwar Bhi Hai
Koi Iss Qafle Mein Qafla Salaar Bhi Hai?
بڑھ کے خيبر سے ہے يہ معرکہ دين و وطن
اس زمانے ميں کوئی حيدر کرار بھی ہے؟
Barh Ke Khayber Se Hai Ye Maarka-e-Deen-o-Watan
Iss Zamane Mein Koi Haidar-e-Karar Bhi Hai?
علم کی حد سے پرے ، بندہ مومن کے ليے
لذت شوق بھی ہے ، نعمت ديدار بھی ہے
Ilm Ki Had Se Pare, Banda-e-Momin Ke Liye
Lazzat-e-Shauq Bhi Hai, Naimat-e-Didar Bhi Hai
پير ميخانہ يہ کہتا ہے کہ ايوان فرنگ
سست بنياد بھی ہے ، آئنہ ديوار بھی ہے
Peer-e-Maikhana Ye Kehta Hai Ke Aiwan-e-Farang
Sust Bunyad Bhi Hai, Aaeena Diwar Bhi Hai
Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam – Iqbal Poetry
Taza Phir Danish-e-Hazir Ne Kiya Sehar-e-Qadeem (Allama Iqbal)
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agahi – Allama Iqbal Poetry
Khirad Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahin – Allama Iqbal Poetry
7 thoughts on “Maktabon Mein Kahin Ra’anai-e-Afkar Bhi Hai? – Iqbal”