Apni Jolangah Zair-e-Asman Samjha Tha Mein
Allama Iqbal Poetry – Bal-e-Jibril
Apni Jolangah Zair-e-Asman Samjha Tha Mein
Aab-o-Gil Ke Khail Ko Apna Jahan Samjha Tha Mein
اپنی جولاں گاہ زير آسماں سمجھا تھا ميں
آب و گل کے کھيل کو اپنا جہاں سمجھا تھا ميں
Behijabi Se Teri Toota Nigahon Ka Tilism
Ek Rida’ay Neelgoon Ko Asman Samjha Tha Mein
بے حجابی سے تری ٹوٹا نگاہوں کا طلسم
اک ردائے نيلگوں کو آسماں سمجھا تھا ميں
Karwan Thak Kar Faza Ke Paich-o-Kham Mein Reh Gya
Meher-o-Mah-o-Mushtari Ko Hum Ana Samjha Tha Mein
کارواں تھک کر فضا کے پيچ و خم ميں رہ گيا
مہروماہ و مشتری کو ہم عناں سمجھا تھا ميں
Ishq Ki Ek Jast Ne Tay Kar Diya Qissa Tamam
Iss Zameen-o-Asman Ko Be-Karan Samjha Tha Mein
عشق کی اک جست نے طے کر ديا قصہ تمام
اس زمين و آسماں کو بے کراں سمجھا تھا ميں
Keh Gayen Raaz-e-Mohabbat Parda-Dari-e-Haye Shauq
Thi Faghan Who Bhi Jise Zabt-e-Faghan Samjha Tha Mein
کہہ گئيں راز محبت پردہ دار يہاے شوق
تھی فغاں وہ بھی جسے ضبط فغاں سمجھا تھا ميں
Thi Kisi Darmanda Rehro Ki Sada’ay Dardnaak
Jis Ko Awaz-e-Raheel-e-Karwan Samjha Tha Mein
تھی کسی درماندہ رہرو کی صداے درد ناک
جس کو آواز رحيل کارواں سمجھا تھا ميں
- Zameer-e-Lala Mai’ay La’al Se Huwa Labraiz – Allama Iqbal
- Wohi Meri Kam Naseebi, Wohi Teri Be Niazi – Allama Iqbal Poetry
- Misal-e-Partou Mai Tof-e-Jaam Karte Hain- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry
9 thoughts on “Apni Jolangah Zair-e-Asman Samjha Tha Mein – Allama Iqbal”