Misal-e-Partou Mai Tof-e-Jaam Karte Hain- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | مثال پرتو مے ، طوف جام کرتے ہيں

مثال پرتو مے ، طوف جام کرتے ہيں

Misal-e-Partou Mai Tof-e-Jaam Karte Hain

 

مثال پرتو مے ، طوف جام کرتے ہيں
يہي نماز ادا صبح و شام کرتے ہيں
Misal-e-Partou Mai Tof-e-Jaam Karte Hain
Yehi Namaz Ada Subah-o-Shaam Karte Hain
نخصوصيت نہيں کچھ اس ميں اے کليم تري
شجر حجر بھي خدا سے کلام کرتے ہيں
Khasoosiat Nahin Kuch Iss Mein Ae Kaleem Teri 
Shajar Hajar Bhi Khuda Se Kalam Karte Hain
نيا جہاں کوئي اے شمع ڈھونڈيے کہ يہاں
ستم کش تپش ناتمام کرتے ہيں
Naya Jahan Koi Ae Shama! Dhoondiye Ke Yahan
Sitam Kash-e-Tapish-e-Natamam Karte Hain
بھلي ہے ہم نفسو اس چمن ميں خاموشي
کہ خوشنوائوں کو پابند دام کرتے ہيں
Bhali Hai Hum Nafso Iss Chaman Mein Khamoshi
Ke Khushnawaon Ko Paband-e-Daam Karte Hain
غرض نشاط ہے شغل شراب سے جن کي
حلال چيز کو گويا حرام کرتے ہيں
Gharz Nishaat Hai Shughal-e-Sharab Se Jin Ki
Hilal Cheez Ko Goya Haram Karte Hain
بھلا نبھے گي تري ہم سے کيونکر اے واعظ
کہ ہم تو رسم محبت کو عام کرتے ہيں
Bhala Nibhe Gi Teri Hum Se Kyunkar Ae Waiz
Ke Hum To Rasm-e-Mohabbat Ko Aam Karte Hain
الہي سحر ہے پيران خرقہ پوش ميں کيا
کہ اک نظر سے جوانوں کو رام کرتے ہيں
Elahi Sehar Hai Peeran-e-Kharqa Posh Mein Kya 
Ke Ek Nazar Se Jawanon Ko Raam Karte Hain
ميں ان کي محفل عشرت سے کانپ جاتا ہوں
جو گھر کو پھونک کے دنيا ميں نام کرتے ہيں
Main Un Ki Mehfil-e-Ishrat Se Kanp Jata Hun
Jo Ghar Ko Phoonk Ke Dunya Mein Naam Karte Hain
ہرے رہو وطن مازني کے ميدانو
جہاز پر سے تمھيں ہم سلام کرتے ہيں
Hare Raho Watan-e-Maazni Ke Maidano
Jahaz Par Se Tumhain Hum Salam Karte Hain
جو بے نماز کبھي پڑھتے ہيں نماز اقبال
بلا کے دير سے مجھ کو امام کرتے ہيں
Jo Be-Namaz Kabhi Parhte Hain Namaz Iqbal
Bula Ke Dair Se Mujh Ko Imam Karte Hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *