عيد پر شعرلکھنےکی فرمائش کے جواب ميں
Eid Par Shair Likhne Ki Farmaeesh Ke Jawab Mein
يہ شالامار ميں اک برگ زرد کہتا تھا
گيا وہ موسم گل جس کا رازدار ہوں ميں
Ya Shalamaar Mein Ek Barg-e-Zard Kehta Tha
Gya Woh Mousam-e-Gul Jis Ka Raazdar Hun Main
نہ پائمال کريں مجھ کو زائران چمن
انھی کی شاخ نشيمن کی يادگار ہوں ميں
Na Paimaal Karain Mujh Ko Zaeeran-e-Chaman
Inhi Ki Shakh Nasheman Ki Yadgar Hun Main
ذرا سے پتے نے بيتاب کر ديا دل کو
چمن ميں آکے سراپا غم بہار ہوں ميں
Zara Se Patte Ne Betaab Kar Diya Dil Ko
Chaman Mein Aa Ke Sarapa Gham-e-Bahar Hun Main
خزاں ميں مجھ کو رلاتی ہے ياد فصل بہار
خوشی ہو عيد کی کيونکر کہ سوگوار ہوں ميں
Khazan Main Mujh Ko Rulati Hai Yad-e-Fasl-e-Bahar
Khushi Ho Eid Ki Kyunkar Ke Sougwar Hun Main
اجاڑ ہو گئے عہد کہن کے ميخانے
گزشتہ بادہ پرستوں کی يادگار ہوں ميں
Ujaar Ho Gye Ehd-e-Kuhan Ke Maikhane
Guzishta Badah Praston Ki Yaadgar Hun Main
پيام عيش ، مسرت ہميں سناتا ہے
ہلال عيد ہماری ہنسی اڑاتا ہے
Payam-e-Aysh-o-Massarat Humain Sunata Hai
Hilal-e-Eid Humari Hansi Urata Hai
Dua- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | دعا
Naveed-e-Subah- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | نويد صبح
11 thoughts on “Eid Par Shair Likhne Ki Farmaeesh Ke Jawab Mein- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | عيد پر شعرلکھنےکی فرمائش کے جواب ميں”