Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar
Allama Iqbal Poetry
Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar
Taskheer-e-Maqam-e-Rang-o-Bu Kar
فطرت کو خرد کے روبرو کر
تسخير مقام رنگ و بو کر
Tu Apni Khudi Ko Kho Chukka Hai
Khoyi Huwi Shay Ki Justuju Kar
تو اپنی خودی کو کھو چکا ہے
کھوئی ہوئی شے کی جستجو کر
Taron Ki Faza Hai Baikarana
Tu Bhi Ye Maqam Arzu Kar
تاروں کی فضا ہے بيکرانہ
تو بھی يہ مقام آرزو کر
Uryan Hain Tere Chaman Ki Hoorain
Chaak-e-Gul-o-Lala Ko Rafu Kar
عرياں ہيں ترے چمن کی حوريں
چاک گل و لالہ کو رفو کر
Be-Zauq Nahin Agarche Fitrat
Jo Uss Se Na Ho Saka, Woh Tu Kar !
بے ذوق نہيں اگرچہ فطرت
جو اس سے نہ ہو سکا ، وہ تو کر
Read More:
Na Ho Tughyan-e-Mushtaqi To Main Rehta Nahin Baqi (Iqbal)
Mujhe Aah-o-Fighan-e-Neem Shab Ka Phir Peyam Aya – Iqbal
11 thoughts on “Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar – Allama Iqbal Poetry”