Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar - Allama Iqbal Poetry

Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar – Allama Iqbal Poetry

Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar

Allama Iqbal Poetry

Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar
Taskheer-e-Maqam-e-Rang-o-Bu Kar

فطرت کو خرد کے روبرو کر
تسخير مقام رنگ و بو کر

Tu Apni Khudi Ko Kho Chukka Hai
Khoyi Huwi Shay Ki Justuju Kar

تو اپنی خودی کو کھو چکا ہے
کھوئی ہوئی شے کی جستجو کر

Taron Ki Faza Hai Baikarana
Tu Bhi Ye Maqam Arzu Kar

تاروں کی فضا ہے بيکرانہ
تو بھی يہ مقام آرزو کر

Uryan Hain Tere Chaman Ki Hoorain
Chaak-e-Gul-o-Lala Ko Rafu Kar

عرياں ہيں ترے چمن کی حوريں
چاک گل و لالہ کو رفو کر

Be-Zauq Nahin Agarche Fitrat
Jo Uss Se Na Ho Saka, Woh Tu Kar !

بے ذوق نہيں اگرچہ فطرت
جو اس سے نہ ہو سکا ، وہ تو کر

Read More:

Na Ho Tughyan-e-Mushtaqi To Main Rehta Nahin Baqi (Iqbal)

Mujhe Aah-o-Fighan-e-Neem Shab Ka Phir Peyam Aya – Iqbal

Ejaz Hai Kissi Ka Ya Gardish-e-Zamana ! [Allama Iqbal]

Nigah-e-Faqar Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai – Allama Iqbal

2 thoughts on “Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar – Allama Iqbal Poetry

  1. Pingback: แทงบอล

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *