Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi
Allama Iqbal Poetry – Bal-e-Jibril
Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi
Jise Zaiba Kahin Azad Bande, Hai Wohi Zaiba
غلامی کيا ہے ؟ ذوق حسن و زيبائی سے محرومی
جسے زيبا کہيں آزاد بندے ، ہے وہی زيبا
Bharosa Kar Nahin Sakte Ghulamon Ki Baseerat Par
Ke Dunya Mein Faqat Mardan-e-Hur Ki Ankh Hai Beena
بھروسا کر نہيں سکتے غلاموں کی بصيرت پر
کہ دنيا ميں فقط مردان حر کی آنکھ ہے بينا
Wohi Hai Sahib-e-Amroz Jis Ne Apni Himat Se
Zamane Ke Sumander Se Nikala Gohar-e-Farda
وہی ہے صاحب امروز جس نے اپنی ہمت سے
زمانے کے سمندر سے نکالا گوہر فردا
Farangi Shisha Gar Kar Ke Fun Se Pathar Ho Gye Pani
Meri Ikseer Ne Shishe Ko Bakhshi Sakhti-e-Khara
فرنگی شيشہ گر کے فن سے پتھر ہوگئے پانی
مری اکسير نے شيشے کو بخشی سختی خارا
Rahe Hain, Aur Hain Firon Meri Ghaat Mein Ab Tak
Magar Kya Gham Ke Meri Asteen Mein Hai Yad-e-Baiza
رہے ہيں ، اور ہيں فرعون ميری گھات ميں اب تک
مگر کيا غم کہ ميری آستيں ميں ہے يد بيضا
Woh Chingari Khas-o-Khashaak Se Kis Tarah Dab Jaye
Jise Haq Ne Kiya Ho Neestan Ke Wastay Paida
وہ چنگاری خس و خاشاک سے کس طرح دب جائے
جسے حق نے کيا ہو نيستاں کے واسطے پيدا
Mohabbat Khaweshtan Beeni, Mohabbat Khwaestan Dari
Mohabbat Astan-e-Qaisar-o-Kasra Se Beparwa
محبت خويشتن بينی ، محبت خويشتن داری
محبت آستان قيصر و کسری سے بے پروا
Ajab kya Gar Meh-o-Parveen Mere Nakhcheer Ho Jaen
‘Ke Bar Fatraak-e-Sahib Doulatay Bistam Sar-e-Khud Ra’
عجب کيا رمہ و پرويں مرے نخچير ہو جائيں
‘کہ برفتراک صاحب دولتے بستم سر خود را’
Woh Dana’ay Subul, Khatam-Ur-Rusul, Moula’ay Kul Jis Ne
Ghubar-e-Rah Ko Bakhsha Farogh-e-Wadi-e-Sina
وہ دانائے سبل ، ختم الرسل ، مولائے کل جس نے
غبار راہ کو بخشا فروغ وادی سينا
Nigah-e-Ishq-o-Masti Mein Wohi Awal, Wohi Akhir
Wohi Quran, Wohi Furqan, Wohi Yasin, Wohi Taha
نگاہ عشق و مستی ميں وہی اول ، وہی آخر
وہی قرآں ، وہی فرقاں ، وہی يسيں ، وہی طہ
Sanayi Ke Adab Se Mein Ne Gawwasi Na Ki Warna
Abhi Iss Behar Mein Baqi Hain Lakhon Lulu’ay Lala
سنائی کے ادب سے ميں نے غواصی نہ کی ورنہ
ابھی اس بحر ميں باقی ہيں لاکھوں لولوئے لالا
- Sama Sakta Nahin Pehna’ay Fitrat Mein Mera Soda – Iqbal
- Bohat Dekhe Hain Main Ne Mashriq-o-Maghrib Ke (Iqbal)
- Apni Jolangah Zair-e-Asman Samjha Tha Mein – Allama Iqbal
14 thoughts on “Ghulami Kya Hai? Zauq-e-Husn-o-Zaibai Se Mehroomi – Iqbal”