Na Takht-o-Taj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai - Allama Iqbal

Na Takht-o-Taj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai – Allama Iqbal

Na Takht-o-Taj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai

Allama Iqbal Poetry

نہ تخت و تاج ميں ، نے لشکر و سپاہ ميں ہے
جو بات مرد قلندر کی بارگاہ ميں ہے

Na Takht-o-Taj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai
Jo Baat Mard-e-Qalandar Ki Bargah Mein Hai

صنم کدہ ہے جہاں اور مرد حق ہے خليل
يہ نکتہ وہ ہے کہ پوشيدہ لاالہ ميں ہے

Sanam Kadah Hai Jahan Aur Mard-e-Haq Hai Khalil
Ye Nukta Woh Hai Ke Poshida LA ILAHA Mein Hai

وہی جہاں ہے ترا جس کو تو کرے پيدا
يہ سنگ و خشت نہيں ، جو تری نگاہ ميں ہے

Woh Jahan Hai Tera Jis Ko Tu Kare Paida
Ye Sang-o-Khisht Nahin, Jo Teri Nigah Mein Hai

مہ و ستارہ سے آگے مقام ہے جس کا
وہ مشت خاک ابھی آوارگان راہ ميں ہے

Mah-o-Sitara Se Agay Maqam Hai Jis Ka
Woh Musht-e-Khak Abhi  Awargan-e-Rah Mein Hai

خبر ملی ہے خدايان بحر و بر سے مجھے
فرنگ رہ گزر سيل بے پناہ ميں ہے

Khabar Mili Hai Khudayan-e-Behar-o-Bar Se Mujhe
Farang Reh-Guzar-e-Seel-e-Be Panah Mein Hai

تلاش اس کی فضاؤں ميں کر نصيب اپنا
جہان تازہ مری آہ صبح گاہ ميں ہے

Talash Uss Ki Fazaon Mein Kar Naseeb Apna
Jahan-e-Taza Meri Aah-e-Subahgah Mein Hai

مرے کدو کو غنيمت سمجھ کہ بادہ ناب
نہ مدرسے ميں ہے باقی نہ خانقاہ ميں ہے

Mere Kidu Ko Ghanimat Samajh Ke Bada-e-Naab
Na Madrase Mein Hai, Baqi Na Khanqah Mein Hai

 

 

6 thoughts on “Na Takht-o-Taj Mein Ne Lashkar-o-Sipah Mein Hai – Allama Iqbal

  1. An attention-grabbing dialogue is price comment. I believe that it is best to write extra on this topic, it may not be a taboo topic however generally persons are not sufficient to talk on such topics. To the next. Cheers

  2. Thank you for some other fantastic post. The place else may just anybody get that type of information in such an ideal way of writing? I’ve a presentation subsequent week, and I’m at the look for such information.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *