Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi - Allama Iqbal Poetry

Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi – Allama Iqbal Poetry

Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi

Allama Iqbal Poetry (Bal-e-Jibril)

Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi
Tu Sahib-E-Manzil Hai K Bahtka Huwa Raahi

پوچھ اس سے کہ مقبول ہے فطرت کی گواہی
تو صاحب منزل ہے کہ بھٹکا ہوا راہی

Kafir Hai Musalman To Na Shahi Na Faqeeri
Momin Hai To Karta Hai Faqeeri Mein Bhi Shahi

کافر ہے مسلماں تو نہ شاہی نہ فقيری
مومن ہے تو کرتا ہے فقيری ميں بھی شاہی

Kafir Hai To Shamsheer Pe Karta Hai Bharosa
Momin Hai To Be-Taeg Bhi Larta Hai Sipahi

کافر ہے تو شمشير پہ کرتا ہے بھروسا
مومن ہے تو بے تيغ بھی لڑتا ہے سپاہی

Kafir Hai To Hai Taba-E-Taqdeer Musalman
Momin Hai, To Who Aap Hai Taqdeer-E-ILAHI

کافر ہے تو ہے تابع تقدير مسلماں
مومن ہے تو وہ آپ ہے تقدير الہی

Main Ne To Kiya Parda’ay Asrar Ko Bhi Chaak
Daireena Hai Tera Marz-E-Kaur Nigahi

ميں نے توکيا پردۂ اسرار کو بھی چاک
ديرينہ ہے تيرا مرض کور نگاہی

 

8 thoughts on “Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi – Allama Iqbal Poetry

  1. Pingback: burn-out
  2. Pingback: live chat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *