Raam- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | رام

Raam- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | رام

رام

Raam

 

 

لبريز ہے شراب حقيقت سے جام ہند
سب فلسفی ہيں خطۂ مغرب کے رام ہند

Labraiz Hai Sharab-e-Haqiqat Se Jam-e-Hind
Sub Falsafi Hain Khita-e-Maghrib Ke Raam-e-Hind

 

يہ ہنديوں کے فکر فلک رس کا ہے اثر
رفعت ميں آسماں سے بھی اونچا ہے بام ہند

Ye Hindiyon Ke Fikr-e-Falak Ras Ka Hai Asar
Riffat Mein Asman Se Bhi Uncha Hai Baam-e-Hind

 

اس ديس ميں ہوئے ہيں ہزاروں ملک سرشت
مشہور جن کے دم سے ہے دنيا ميں نام ہند

Iss Dais Mein Huwe Hain Hazaron Malak Sarasht
Mashoor Jin Ke Dam Se Hai Dunya Mein Naam-e-Hind

 

ہے رام کے وجود پہ ہندوستاں کو ناز
اہل نظر سمجھتے ہيں اس کو امام ہند

Hai Raam Ke Wujood Pe Hindustan Ko Naaz
Ahl-e-Nazar Samajhte Hain Uss Ko Imam-e-Hind

 

اعجاز اس چراغ ہدايت کا ہے يہی
روشن تر از سحر ہے زمانے ميں شام ہند

Ejaz Uss Charagh-e-Hadayat Ka Hai Yehi
Roshan Tar Az Sehar Hai Zamane Mein Sham-e-Hind

 

تلوار کا دھنی تھا ، شجاعت ميں فرد تھا
پاکيزگی ميں ، جوش محبت ميں فرد تھا

alwar Ka Dhani Tha, Shujaat Mein Fard Tha
Pakeezgi Mein, Josh-e-Mohabbat Mein Fard Tha

 

 

 

Nasihat- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | نصيحت

5 thoughts on “Raam- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | رام

  1. Pingback: 꽁 머니

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *