Rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai

Rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai – Mirza Ghalib Poetry

Rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai

رحم کر ظالم کہ کیا بود چراغ کشتہ ہے

 

rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai
nabz-e-bīmār-e-vafā dūd-e-charāġh-e-kushta hai

رحم کر ظالم کہ کیا بود چراغ کشتہ ہے
نبض بیمار وفا دود چراغ کشتہ ہے

 

dil-lagī kī aarzū bechain rakhtī hai hameñ
varna yaañ be-raunaqī sūd-e-charāġh-e-kushta hai

دل لگی کی آرزو بے چین رکھتی ہے ہمیں
ورنہ یاں بے رونقی سود چراغ کشتہ ہے

 

nashsha-e-mai be-chaman dūd-e-charāġh-e-kushta hai
jaam dāġh-e-shola-andūd-e-charāġh-e-kushta hai

نشۂ مے بے چمن دود چراغ کشتہ ہے
جام داغ شعلہ اندود چراغ کشتہ ہے

 

dāġh-e-rabt-e-ham haiñ ahl-e-bāġh gar gul ho shahīd
laala chashm-e-hasrat-ālūd-e-charāġh-e-kushta hai

داغ ربط ہم ہیں اہل باغ گر گل ہو شہید
لالہ چشم حسرت آلود چراغ کشتہ ہے

 

shor hai kis bazm kī arz-e-jarāhat-ḳhāna kā
sub.h yak-bazm-e-namak sūd-e-charāġh-e-kushta hai

شور ہے کس بزم کی عرض جراحت خانہ کا
صبح یک بزم نمک سود چراغ کشتہ ہے

 

 

Gulshan men bandobast ba-rang-e-digar hai aaj – Mirza Ghalib Poetry

Lab-e-isa ki jumbish karti hai gahvara-jumbani – Mirza Ghalib Poetry