Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Mu'amla Hai Ajeeb | Allama Iqbal

Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Mu’amla Hai Ajeeb | Allama Iqbal

Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Mu’amla Hai Ajeeb

Allama Iqbal Poetry

Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Maamla Hai Ajeeb
Maqam-e-Shauq Mein Hain Sub Dil-o-Nazar Ke Raqeeb

شعور و ہوش و خرد کا معاملہ ہے عجيب
مقام شوق ميں ہيں سب دل و نظر کے رقيب

Mein Janta Hun Jamaat Ka Hashar Kya Ho Ga
Masael-e-Nazari Mein Ulajh Gya Hai Khateeb

ميں جانتا ہوں جماعت کا حشر کيا ہو گا
مسائل نظری ميں الجھ گيا ہے خطيب

Agarche Mere Nasheeman Ka Kar Raha Hai Tawwaaf
Meri Nawa Mein Nahin Taair-e-Chaman Ka Naseeb

اگرچہ ميرے نشيمن کا کر رہا ہے طواف
مری نوا ميں نہيں طائر چمن کا نصيب

Suna Hai Main Ne Sukhan Ras Hai Turk-e-Usmani
Sunaye Kon Usse Iqbal Ka Ye Shair-e-Ghareeb

سنا ہے ميں نے سخن رس ہے ترک عثمانی
سنائے کون اسے اقبال کا يہ شعر غريب

Samajh Rahe Hain Woh Yourap Ko Hum-Jawaar Apna
Sitare Jin Ke Nasheman Se Hain Zaida Qareeb!

سمجھ رہے ہيں وہ يورپ کو ہم جوار اپنا
ستارے جن کے نشيمن سے ہيں زيادہ قريب

 

One thought on “Shaur-o-Hosh-o-Khirad Ka Mu’amla Hai Ajeeb | Allama Iqbal

  1. Pingback: ไฮเบย์

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *