تضمين برشعر ابوطالب کليم
Tazmeen Bar Shair-e-Abu Talib Kaleem
خوب ہے تجھ کو شعار صاحب یثرب کا پاس
کہہ رہی ہے زندگی تيری کہ تو مسلم نہيں
Khoob Hai Tujh Ko Shiaar-e-Sahib-e-Yasrib (S.A.W.) Ka Paas
Keh Rahi Hai Zindagi Teri Ke Tu Muslim Nahin
جس سے تيرے حلقۂ خاتم ميں گردوں تھا اسير
اے سليماں! تيری غفلت نے گنوايا وہ نگيں
Jis Se Tere Halqa-e-Khatim Mein Gardoon Tha Aseer
Ae Suleman! Teri Ghaflat Ne Ganwaya Woh Nageen
وہ نشان سجدہ جو روشن تھا کوکب کی طرح
ہوگئی ہے اس سے اب ناآشنا تيری جبيں
Woh Nishan-e-Sajda Jo Roshan Tha Koukab Ki Tarah
Ho Gyi Hai Uss Se Ab Na-Ashna Teri Jabeen
ديکھ تو اپنا عمل، تجھ کو نظر آتی ہے کيا
وہ صداقت جس کی بے باکی تھی حيرت آفريں
Dekh To Apna Amal, Tujh Ko Nazar Ati Hai Kya
Woh Sadaqat Jis Ki Be-Baki Thi Hairat Afreen
تيرے آبا کی نگہ بجلی تھی جس کے واسطے
ہے وہی باطل ترے کاشانۂ دل ميں مکيں
Tere Aaba Ki Nigah Bijli Thi Jis Ke Waste
Hai Wohi Batil Tere Kashana-e-Dil Mein Makeen
غافل! اپنے آشياں کو آ کے پھر آباد کر
نغمہ زن ہے طور معنی پر کليم نکتہ بيں
Ghafil! Apne Ashiyan Ko Aa Ke Phir Abad Kar
Naghma Zan Hai Toor-e-Ma’ani Par Kaleem-e-Nukta Been
سرکشی باہر کہ کردی رام او بايد شدن
شعلہ ساں از ہر کجا برخاستی ، آنجانشيں
Sarkashi Bahir Ke Kar Di, Raam-e-Ao Bayad Shadan
Shaola Saan Azhar Kuja Barkhasti, Aanja Nasheen
Main Aur Tu- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | ميں اورتو
Aik Muqalma- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | ايک مکالمہ
Ghulam Qadir Ruhela- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | غلام قادررہيلہ
19 thoughts on “Tazmeen Bar Shair-e-Abu Talib Kaleem- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | تضمين برشعر ابوطالب کليم”