کہوں کيا آرزوئے بے دلی مجھ کو کہاں تک ہے
Kahun Kya Arzu-e-Be-Dili Mujh Ko Kahan Tak Hai
کہوں کيا آرزوئے بے دلی مجھ کو کہاں تک ہے
مرے بازار کی رونق ہی سودائے زياں تک ہے
Kahun Kya Arzu-e-Be-Dili Mujh Ko Kahan Tak Hai
Mere Bazar Ki Ronaq Hi Soda-e-Zayan Tak Hai
Mere Bazar Ki Ronaq Hi Soda-e-Zayan Tak Hai
وہ مے کش ہوں فروغ مے سے خود گلزار بن جاؤں
ہوائے گل فراق ساقی نامہرباں تک ہے
Woh Mai Kash Hun Farogh-e-Mai Se Khud Gulzar Ban Jaun
Hawaye Gul Faraq-e-Saqi-e-Na-Mehrban Tak Hai
Hawaye Gul Faraq-e-Saqi-e-Na-Mehrban Tak Hai
چمن افروز ہے صياد ميری خوشنوائی تک
رہی بجلی کی بے تابی ، سو ميرے آشياں تک ہے
Chaman Afroz Hai Sayyad Meri Khush Nawayi Tak
Rhi Bijli Ki Be-Tabi, Sou Mere Ashiyan Tak Hai
Rhi Bijli Ki Be-Tabi, Sou Mere Ashiyan Tak Hai
وہ مشت خاک ہوں ، فيض پريشانی سے صحرا ہوں
نہ پوچھو ميری وسعت کی ، زميں سے آ سماں تک ہے
Woh Musht-e-Khak Hun, Faiz-e-Preshani Se Sehra Hun
Na Pucho Meri Wusaat Ki, Zameen Se Asman Tak Hai
Na Pucho Meri Wusaat Ki, Zameen Se Asman Tak Hai
جرس ہوں ، نالہ خوابيدہ ہے ميرے ہر رگ و پے ميں
يہ خاموشی مری وقت رحيل کارواں تک ہے
Jaras Hun, Nala Khawabida Hai Mere Har Rag-o-Pe Mein
Ye Khamoshi Meri Waqt-e-Raheel-e-Karwan Tak Hai
Ye Khamoshi Meri Waqt-e-Raheel-e-Karwan Tak Hai
سکون دل سے سامان کشود کار پيدا کر
کہ عقدہ خاطر گرداب کا آب رواں تک ہے
Sukoon-e-Dil Se Saman-e-Kashod-e-Kaar Paida Ker
Ke Uqdah Khatir-e-Gardab Ka Aab-e-Rawan Tak Hai
Ke Uqdah Khatir-e-Gardab Ka Aab-e-Rawan Tak Hai
چمن زار محبت ميں خموشی موت ہے بلبل
يہاں کی زندگی پابندی رسم فغاں تک ہے
Chaman Zaar-e-Mohabat Mein Khamoshi Mout Hai Bulbul!
Yahan Ki Zindagi Pabandi-e-Rasm-e-Faghan Tak Hai
Yahan Ki Zindagi Pabandi-e-Rasm-e-Faghan Tak Hai
جوانی ہے تو ذوق ديد بھی ، لطف تمنا بھی
ہمارے گھر کی آبادی قيام ميہماں تک ہے
Jawani Hai To Zauq-e-Deed Bhi, Lutf-e-Tamanna Bhi
Humare Ghar Ki Abadi Qaam-e-Mehman Tak Hai
Humare Ghar Ki Abadi Qaam-e-Mehman Tak Hai
زمانے بھر ميں رسوا ہوں مگر اے وائے نادانی
سمجھتا ہوں کہ ميرا عشق ميرے رازداں تک ہے
Zamane Bhar Men Ruswa Hun Magar Ae Waye Nadani
Samajhta Hun K E Mera Ishq Mere Raazdan Tak Hai
Samajhta Hun K E Mera Ishq Mere Raazdan Tak Hai
Yes! Fially someone writes about 84494.
Remarkable! Its in fact aweome paragraph, I have
goot muchh clrar idea egarding from this article.