طلبۂ علی گڑھ کالج کے نام
Talba-e-Ali Garh College Ke Naam
اوروں کا ہے پيام اور ، ميرا پيام اور ہے
عشق کے درد مند کا طرز کلام اور ہے
Auron Ka Hai Payam Aur, Mera Payam Aur Hai
Ishq Ke Dardmand Ka Tarz-e-Kalaam Aur Hai
طائر زير دام کے نالے تو سن چکے ہو تم
يہ بھی سنو کہ نالۂ طائر بام اور ہے
Taair-e-Zair-e-Daam Ke Naale Tu Sun Chukke Ho Tum
Ye Bhi Suno Ke Nala-e-Tair-e-Baam Aur Hai
آتی تھی کوہ سے صدا راز حيات ہے سکوں
کہتا تھا مور ناتواں لطف خرام اور ہے
At Thi Koh Se Sada Raaz-e-Hayat Hai Sukoon
Kehta Tha Moor-e-Natwan Lutf-e-Kharaam Aur Hai
جذب حرم سے ہے فروغ انجمن حجاز کا
اس کا مقام اور ہے ، اس کا نظام اور ہے
Jazb-e-Haram Se Hai Farough Anjuman-e-Hijaz
Iss Ka Maqam Aur Hai, Iss Ka Nizam Aur Hai
موت ہے عيش جاوداں ، ذوق طلب اگر نہ ہو
گردش آدمی ہے اور ، گردش جام اور ہے
Mout Hai Aysh-e-Javidan, Zuaq-e-Talab Agar Na Ho
Gardish-e-Adami Hai Aur, Gardish-e-Jaam Aur Hai
شمع سحر يہ کہہ گئی سوز ہے زندگی کا ساز
غم کدۂ نمود ميں شرط دوام اور ہے
Shama-e-Sehar Ye Keh Gyi Souz Hai Zindagi Ka Saaz
Ghamkuda-e-Namood Mein Shart-e-Dawam Aur Hai
بادہ ہے نيم رس ابھی ، شوق ہے نارسا ابھی
رہنے دو خم کے سر پہ تم خشت کليسيا ابھی
Badah Hai Neem Ras Abhi, Shuaq Hai Na-Rasa Abhi
Rehne Do Khum Ke Sar Pe Tum Khisht-e-Kaleesiya Abhi
Swami Ram Tirath- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | سوامی رام تيرتھ
Payam- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | پيام
Haqiqat-e-Husn- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | حقيقتِ حسن
12 thoughts on “Talba-e-Ali Garh College Ke Naam- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | طلبۂ علی گڑھ کالج کے نام”