ستارہ
Sitara
قمر کا خوف کہ ہے خطرۂ سحر تجھ کو
مآل حسن کی کيا مل گئی خبر تجھ کو؟
Qamar Ka Khof Ke Hai Khatra-e-Sehar Tujh Ko
Maal-e-Husn Ki Kya Mil Gyi Khabar Tujh Ko?
متاع نور کے لٹ جانے کا ہے ڈر تجھ کو
ہے کيا ہراس فنا صورت شرر تجھ کو؟
Mataa-e-Noor Ke Lut Jane Ka Hai Dar Tujh Ko
Hai Kya Haras-e-Fana Soorat-e-Sharar Tujh Ko?
زميں سے دور ديا آسماں نے گھر تجھ کو
مثال ماہ اڑھائی قبائے زر تجھ کو
Zameen Se Door Diya Aasman Ne Ghar Tujh Ko
Misal-e-Mah Urhayi Qabaye Zar Tujh Ko
غضب ہے پھر تری ننھی سی جان ڈرتی ہے
تمام رات تری کانپتے گزرتی ہے
Ghazab Hai Phir Teri Nanhi Si Jaan Derti Hai!
Tamam Raat Teri Kanpte Guzerti Hai
چمکنے والے مسافر! عجب يہ بستی ہے
جو اوج ايک کا ہے ، دوسرے کی پستی ہے
Chamakne Wale Musafir! Ajeeb Ye Basti Hai
Jo Auj Aik Ka Hai, Dosre Ki Pasti Hai
اجل ہے لاکھوں ستاروں کی اک ولادت مہر
فنا کی نيند مے زندگی کی مستی ہے
Ajal Hai Lakhon Sitaron Ki Ek Waladat-e-Mehr
Fana Ki Neend Mai-e-Zindagi Ki Masti Hai
وداع غنچہ ميں ہے راز آفرينش گل
عدم ، عدم ہے کہ آئينہ دار ہستی ہے
Widaa-e-Ghuncha Mein Hai Raaz-e-Afrainash-e-Gul
Adam, Adam Hai Ke Aaeena Daar-e-Hasti Hai
سکوں محال ہے قدرت کے کارخانے ميں
ثبات ايک تغير کو ہے زمانے ميں
Sukoon Muhal Hai Qudrat Ke Kaarkhane Mein
Sabat Aik Taghiyur Ko Hai Zamane Mein
Bilad-e-Islamia- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | بلاد اسلاميہ
Pooch Iss Se K Maqbool Hai Fitrat Ki Gawahi – Allama Iqbal Poetry
Mir-e-Sipah Na Saza, Lashkariyan Shakista Saf – Allama Iqbal
4 thoughts on “Sitara- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | ستارہ”