نصيحت
Nasihat
ميں نے اقبال سے از راہ نصيحت يہ کہا
عامل روزہ ہے تو اور نہ پابند نماز
Mein Ne Iqbal Se Azrah-e-Nasihat Ye Kaha
Aamil-e-Roza Hai Tu Aur Na Paband Namaz
تو بھی ہے شيوہ ارباب ريا ميں کامل
دل ميں لندن کی ہوس ، لب پہ ترے ذکر حجاز
Tu Bhi Hai Shewa-e-Arbab-e-Raya Mein Kamil
Dil Mein Landan Ki Hasas, Lab Pe Tere Zikr-e-Hijaz
جھوٹ بھی مصلحت آميز ترا ہوتا ہے
تيرا انداز تملق بھی سراپا اعجاز
Jhoot Bhi Maslahat Amaiz Tera Hota Hai
Tera Andaz-e-Tamluq Bhi Sarapa Ejaz
ختم تقرير تری مدحت سرکار پہ ہے
فکر روشن ہے ترا موجد آئين نياز
Khatam Taqreer Teri Midhat-e-Sarkar Pe Hai
Fikr-e-Roshan Hai Tera Mujad-e-Aaeen-e-Niaz
در حکام بھی ہے تجھ کو مقام محمود
پالسی بھی تری پيچيدہ تر از زلف اياز
Dar-e-Hukkam Bhi Hai Tujh Ko Maqam-e-Mehmood
Palicy Bhi Teri Pecheeda Ter Az Zulf-e-Ayaz
اور لوگوں کی طرح تو بھی چھپا سکتا ہے
پردہ خدمت ديں ميں ہوس جاہ کا راز
Aur Logon Ki Tarah Tu Bhi Chupa Sakta Hai
Parda-e-Khidmat-e-Deen Mein Hawas-e-Jah Ka Raaz
نظر آجاتا ہے مسجد ميں بھی تو عيد کے دن
اثر وعظ سے ہوتی ہے طبيعت بھی گداز
Nazar Aa Jata Hai Masjid Mein Bhi Tu Eid Ke Din
Asr-e-Wa’az Se Hoti Hai Tabiat Bhi Gudaz
دست پرورد ترے ملک کے اخبار بھی ہيں
چھيڑنا فرض ہے جن پر تری تشہير کا ساز
Dast Parward Tere Mulk Ke Akhbar Bhi Hain
Chairna Farz Hai Jin Par Teri Tashheer Ka Saaz
اس پہ طرہ ہے کہ تو شعر بھی کہہ سکتا ہے
تيری مينائے سخن ميں ہے شراب شيراز
Iss Pe Turra Hai Ke Tu Shair Bhi Keh Sakta Hai
Teri Meenaye Sukhan Mein Hai Sharab-e-Shiraz
جتنے اوصاف ہيں ليڈر کے ، وہ ہيں تجھ ميں سبھی
تجھ کو لازم ہے کہ ہو اٹھ کے شريک تگ و تاز
Jitne Ausaf Hain Leader Ke, Wo Hain Tujh Mein Sabhi
Tujh Ko Lazim Hai Ke Ho Uth Ke Shareek-e-Tag-o-Taaz
غم صياد نہيں ، اور پر و بال بھی ہيں
پھر سبب کيا ہے ، نہيں تجھ کو دماغ پرواز
Gham-e-Sayyad Nahin, Aur Par-o-Baal Bhi Hain
Phir Sabab Kya Hai, Nahin Tujh Ko Damagh-e-Parwaz
عاقبت منزل ما وادی خاموشان است
حاليا غلغلہ در گنبد افلاک انداز
Aaqabat Manzil-e-Ma Wadi-e-Khamoshan-e-Ast
Haliya Ghughula Dar Gunbad-e-Aflak Andaz
8 thoughts on “Nasihat- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | نصيحت”