Mazhab-Tazmeen Bar-Shair-e-Mirza Bedil- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | مذہب – تضمين بر شعر ميرزابيدل

مذہب

تضمين بر شعر ميرزابيدل

Mazhab
Tazmeen Bar-Shair-e-Mirza Bedil

 


تعليم پير فلسفۂ مغربی ہے يہ
ناداں ہيں جن کو ہستی غائب کی ہے تلاش

Taleem-e-Peer-e-Falsafa-e-Maghrabi Hai Ye
Nadan Hain Jin Ko Hasti-e-Ghaeeb Ki Hai Talash

 

پيکر اگر نظر سے نہ ہو آشنا تو کيا
ہے شيخ بھی مثال برہمن صنم تراش

Paikar Agar Nazar Se Na Ho Ashna To Kya
Hai Sheikh Bhi Misal-e-Barhman Sanam Tarash

 

محسوس پر بنا ہے علوم جديد کی
اس دور ميں ہے شيشہ عقائد کا پاش پاش

Mehsoos Par Bina Hai Uloom-e-Jadeed Ki
Iss Dour Mein Hai Sheesha Aqaeed  Ka Pash Pash

 

مذہب ہے جس کا نام، وہ ہے اک جنون خام
ہے جس سے آدمی کے تخيل کو انتعاش

Mazhab Hai Jis Ka Naam, Woh Hai Ek Junoon-e-Kham
Hai Jis Se Adami Ke Takhiyul Ko Intaash

 

کہتا مگر ہے فلسفۂ زندگی کچھ اور
مجھ پر کيا يہ مرشد کامل نے راز فاش

Kehta Magar Hai Falsafa-e-Zindagi Kuch Aur
Mujh Par Liya Ye Murshid-e-Kamil Ne Raaz Faash

 

با ہر کمال اند کے آشفتگی خوش است
ہر چند عقل کل شدہ  بے جنوں مباش

Bahir Kamal And Ke Ashuftagi Khush Ast
Har Chand Aqal-e-Kul Shuda Aee Be-Junoon Mabash

 

 

 

 

Firdous Mein Aik Muqalma- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | فردوس ميں ايک مکالمہ

Tazmeen Bar-Shair-e-Saeeb- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | تضمين برشعر صائب

Phoolon Ki Shehzadi- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | پھولوں کی شہزادی

11 thoughts on “Mazhab-Tazmeen Bar-Shair-e-Mirza Bedil- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | مذہب – تضمين بر شعر ميرزابيدل

  1. Pingback: hihuay
  2. Pingback: dtr car detailing
  3. Pingback: Sevink Molen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *