Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam - Iqbal Poetry

Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam – Iqbal Poetry

Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam

(France Mein Likhe Gye)

فرانس ميں  لکھے گئے

ڈھونڈ رہا ہے فرنگ عيش جہاں کا دوام
!وائے تمنائے خام ، وائے تمنائے خام

Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam
Waye Tamana-e-Kham, Waye Tamana-e-Kham !

پير حرم نے کہا سن کے مری روئداد
پختہ ہے تيری فغاں ، اب نہ اسے دل ميں تھام

Peer-e-Haram Ne Kaha Sun Ke Meri Ruedad
Pukhta Hai Teri Faghan, Ab Na Isse Dil Mein Thaam

تھا ارنی گو کليم ، ميں ارنی گو نہيں
اس کو تقاضا روا ، مجھ پہ تقاضا حرام

Tha Arini Go Kaleem, Main Arini Go Nahin
Uss Ko Taqaza Rawa, Mujh Pe Taqaza Haraam

گرچہ ہے افشائے راز ، اہل نظر کی فغاں
ہو نہيں سکتا کبھی شيوہ رندانہ عام

Gharche Hai Afsaye Raaz, Ahl-e-Nazar Ki Fagahan
Ho Nahin Sakta Kabhi Shewa-e-Rindana Aam

حلقہ صوفی ميں ذکر ، بے نم و بے سوز و ساز
ميں بھي رہا تشنہ کام ، تو بھی رہا تشنہ کا

Halqa-e-Sufi Mein Zikr, Benam-o-Besouz-o-Saaz
Main Bhi Raha Tashna Kaam, Tu bhi Raha Tashna Kaam

عشق تری انتہا ، عشق مری انتہا
تو بھی ابھی ناتمام ، ميں بھی ابھی ناتمام

Ishq Teri Intaha, Ishq Meri Intaha
Tu Bhi Abhi Na-Tamam, Main Bhi Abhi Na-Tamam

آہ کہ کھويا گيا تجھ سے فقيری کا راز
ورنہ ہے مال فقير سلطنت روم و شام

Aah Ke Khoya Gya Tujh Se Faqeeri Ka Raaz
Warna Hai Maal-e-Faqeer Saltanat-e-Rome-o-Sham

Sitaron Se Agay Jahan Aur Bhi Hain – Allama Iqbal Poetry

Fitrat Ko Khirad Ke Ru-Ba-Ru Kar – Allama Iqbal Poetry

Na Ho Tughyan-e-Mushtaqi To Main Rehta Nahin Baqi (Iqbal)

4 thoughts on “Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam – Iqbal Poetry

  1. Pingback: dark168
  2. Pingback: Classrooms

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *