عجب واعظ کی دينداری ہے يا رب
Ajab Waiz Ki Deen-Dari Hai Ya Rab
عجب واعظ کی دينداری ہے يا رب
عداوت ہے اسے سارے جہاں سے
Ajab Waiz Ki Deen-Dari Hai Ya Rab
Adawat Hai Isse Sare Jahan Se
Adawat Hai Isse Sare Jahan Se
کوئی اب تک نہ يہ سمجھا کہ انساں
کہاں جاتا ہے، آتا ہے کہاں سے
Koi Ab Tak Na Ye Samajha Ke Insan
Kahan Jata Hai, Ata Hai Kahan Se
Kahan Jata Hai, Ata Hai Kahan Se
وہيں سے رات کو ظلمت ملی ہے
چمک تارے نے پائی ہے جہاں سے
Wahin Se Raat Ko Zulmat Mili Hai
Chamak Tare Ne Payi Hai Jahan Se
Chamak Tare Ne Payi Hai Jahan Se
ہم اپنی درد مندی کا فسانہ
سنا کرتے ہيں اپنے رازداں سے
Hum Apni Dardmani Ka Fasana
Suna Karte Hain Apne Raazdan Se
Suna Karte Hain Apne Raazdan Se
بڑی باريک ہيں واعظ کی چاليں
لرز جاتا ہے آواز اذاں سے
Bari Bareek Hain Waaiz Ki Chalain
Larz Jata Hai Awaz-e-Azan Se
Larz Jata Hai Awaz-e-Azan Se
7 thoughts on “Ajab Waiz Ki Deen-Dari Hai Ya Rab- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | عجب واعظ کی دينداری ہے يا رب”