Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati Chup Ke Rahna Thana Hai - Mir Taqi Mir Poetry

Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati Chup Ke Rahna Thana Hai – Mir Taqi Mir Poetry

Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati Chup Ke Rahna Thana Hai

دل کی بات کہی نہیں جاتی چپکے رہنا ٹھانا ہے

 

Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati, Chup Ke Rahna Thana Hai
Haal Agar Hai Aisa Hi To Ji Se Jaana Jaana Hai

دل کی بات کہی نہیں جاتی چپکے رہنا ٹھانا ہے
حال اگر ہے ایسا ہی تو جی سے جانا، جانا ہے

 

Surkh Kabhu Hai Aansu Hoke Zard Kabhu Hai Munh Mera
Kya Kya Rang Mohabbat Ke Hain, Ye Bhi Ek Zamana Hai

سرخ کبھو آنسو ہیں ہوتے زرد کبھو ہے منھ میرا
کیا کیا رنگ محبت کے ہیں یہ بھی ایک زمانہ ہے

 

Fursat Hai Yaan Kam Rahne Ki, Baat Nahi Kuch Kahne Ki
Aankhain Khol Ke Kaan Jo Khole Bazm-E-Jahaan Afsana Hai

فرصت کم ہے یاں رہنے کی بات نہیں کچھ کہنے کی
آنکھیں کھول کے کان جو کھولو بزمِ جہاں افسانہ ہے

 

Tegh Tale Hi Us Ke Kyun Na Gardan Daal Ke Ja Baithe
Sar To Aakhirkaar Hamain Bhi Haath Ki Or Jhukana Hai

تیغ تلے ہی اس کے کیوں نہ گردن ڈال کے جا بیٹھیں
سر تو آخرکار ہمیں بھی خاک کی اور جھکانا ہے

 

 

Aarzuen Hazaar Rakhte Hain – Mir Taqi Mir Poetry

Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak – Mirza Ghalib Poetry

3 thoughts on “Dil Ki Baat Kahi Nahin Jaati Chup Ke Rahna Thana Hai – Mir Taqi Mir Poetry

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *