Hadsa Woh Jo Abhi Farda'ay Aflak Main Hai - Allama Iqbal

Hadsa Woh Jo Abhi Farda’ay Aflak Main Hai – Allama Iqbal

Hadsa Woh Jo Abhi Farda’ay Aflak Main Hai

Allama Iqbal Poetry

حادثہ وہ جو ابھی پردہ افلاک ميں ہے
عکس اس کا مرے آئينہ ادراک ميں ہے

Hadsa Woh Jo Abhi Parda-e-Aflak Mein Hai
Aks Uss Ka Mere Aaeena-e-Idraak Mein Hai

نہ ستارے ميں ہے ، نے گردش افلاک ميں ہے
تيری تقدير مرے نالہ بے باک ميں ہے

Na Sitare Mein Hai, Ne Gardish-e-Aflak Mein Hai
Teri Taqdeer Mere Nala-e-Bebaak Mein Hai

يا مری آہ ميں کوئی شرر زندہ نہيں
يا ذرا نم ابھی تيرے خس و خاشاک ميں ہے

Ya Meri Aah Mein Koi Sharar-e-Zinda Nahin
Ya Zara Nam Abhi Tere Khs-o-Khashak Mein Hai

کيا عجب ميری نوا ہائے سحر گاہی سے
زندہ ہو جائے وہ آتش کہ تری خاک ميں ہے

Kya Ajab Meri Nawa Haye Sehargahi Se
Zinda Ho Jaye Woh Atish Ke Teri Khak Mein Hai

توڑ ڈالے گی يہی خاک طلسم شب و روز
گرچہ الجھی ہوئی تقدير کے پيچاک ميں ہے

Tor Dale Gi Yehi Khak Tilism-e-Shab-o-Roz
Gharche Uljhi Huwi Taqdeer Ke Paichaak Mein Hai

 

Maktabon Mein Kahin Ra’anai-e-Afkar Bhi Hai? – Iqbal

Dhoond Raha Hai Farang Aysh-e-Jahan Ka Dawam – Iqbal Poetry

Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agahi – Allama Iqbal Poetry

Kirad Ne Mujh Ko Atta Ki Nazar Hakeemana – Allama Iqbal Poetry

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *