Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Souz-e-Mushtaqi - Allama Iqbal

Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Souz-e-Mushtaqi – Allama Iqbal

Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Souz-e-Mushtaqi

Allama Iqbal Poetry

رہا نہ حلقہ صوفی ميں سوز مشتاقی
فسانہ ہائے کرامات رہ گئے باقی

Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Souz-e-Mushtaqi
Fasana Haye Karamaat Reh Gye Baqi

خراب کوشک سلطان و خانقاہ فقير
فغاں کہ تخت و مصلی کمال زراقی

Kharab Ko Shak-e-Sultan-O-Khanqah-e-Faqeer
Faghan Ke Takht-O-Musalla Kamal-e-Zarraqi

کرے گی داور محشر کو شرمسار اک روز
کتاب صوفی و ملا کی سادہ اوراقی

Kare Gi Dawar-e-Mehshar Ko Sharamsaar Ek Roz
Kitab-e-Sufi-O-Mullah Ki Sada Auraqi

نہ چينی و عربی وہ ، نہ رومی و شامی
سما سکا نہ دو عالم ميں مرد آفاقی

Na Cheeni-O-Arabi Woh, Na Rumi-O-Shami
Sama Saka Na Do Alam Mein Mard-e-Afaqi

مئے شبانہ کی مستی تو ہو چکی ، ليکن
کھٹک رہا ہے دلوں ميں کرشمہ ساقی

Mai-e-Shabana Ki Masti To Ho Chuki, Lekin
Khatak Raha Hai Dilon Mein Karishma-e-Saqi

چمن ميں تلخ نوائی مری گوارا کر
کہ زہر بھی کبھی کرتا ہے کار ترياقی

Chaman Mein Talakh Nawayi Meri Gawara Kar
Ke Zehar Bhi Kabhi Karta Hai Kar-e-Taryaqi

عزيز تر ہے متاع امير و سلطاں سے
وہ شعر جس ميں ہو بجلی کا سوز و براقی

Aziz Tat Hai Mataa-e-Ameer-O-Sultan Se
Woh Shair Jis Mein Ho Bijli Ka Souz-O-Barraqi

 

Hadsa Woh Jo Abhi Farda’ay Aflak Main Hai – Allama Iqbal

Khudi Ho Ilm Se Mohkam To Ghairat-e-Jibreel – Allama Iqbal

One thought on “Raha Na Halqa-e-Sufi Mein Souz-e-Mushtaqi – Allama Iqbal

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *