Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh! | Iqbal

Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh! | Iqbal

Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh!

Allama Iqbal Poetry 

Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh!
Ek Jahan Aur Bhi Hai Jis Mein Na Farda Hai Na Dosh

کھو نہ جا اس سحروشام ميں اے صاحب ہوش
اک جہاں اور بھی ہے جس ميں نہ فردا ہے نہ دوش

Kis Ko Maaloom Hai Hungama-e-Farda Ka Maqam
Masjid-o-Maktab-o-Maikhana Hain Muddat Se Khamosh

کس کو معلوم ہے ہنگامہ فردا کا مقام
مسجد و مکتب و ميخانہ ہيں مدت سے خموش

Main Ne Paya Hai Usse Ashk-e-Sehargahi Mein
Jis Dur-e-Naab Se Khali Hai Sadaf Ki Aagosh

ميں نے پايا ہے اسے اشک سحر گاہی ميں
جس در ناب سے خالی ہے صدف کی آغوش

Nayi Tehzeeb Takaluf Ke Sawa Kuch Bhi Nahin
Chehra Roshan Ho To Kya Hajat-e-Gluguna Farosh!

نئی تہذيب تکلف کے سوا کچھ بھی نہيں
چہرہ روشن ہو تو کيا حاجت گلگونہ فروش

Sahib-e-Saaz Ko Lazim Hai Ke Ghafil Na Rahe
Gahe Gahe Galat Aahang Bhi Hota Hai Sarosh

صاحب ساز کو لازم ہے کہ غافل نہ رہے
گاہے گاہے غلط آہنگ بھی ہوتا ہے سروش

 

 

One thought on “Kho Na Ja Iss Sehar-o-Sham Mein Ae Sahib-e-Hosh! | Iqbal

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *