Khoob-o-Zisht
خوب و زشت
ستارگان فضاہائے نیلگوں کی طرح
تخیلات بھی ہیں تابع طلوع و غروب
Sitargan-e-Faza Haye Neelgoon Ki Tarah
Takhiyyulat Bhi Hain Taba-e-Tulu-o-Ghuroob
Just like the stars that shine in azure sky,
Thoughts have short span of life and soon they die.
جہاں خودی کا بھی ہے صاحب فراز و نشیب
یہاں بھی معرکہ آرا ہے خوب سے ناخوب
Jahan Khudi Ka Bhi Hai Sahib-e-Faraz-o-Nashaib
Yahan Bhi Maarka Aara Hai Khoob Se Na-Khoob
The realm of self has its ups and downs,
Even here, the Fair and Foul exchange their frowns.
نمود جس کی فراز خودی سے ہو ، وہ جمیل
!جو ہو نشیب میں پیدا ، قبیح و نامحبوب
Namood Jis Faraz-e-Khudi Se Ho, Woh Jameel
Jo Ho Nashaib Mein Paida, Qabeeh-o-Na-Mehboob
If self has reached the height, its acts are fine,
Debased, its deeds as good one canʹt define.
(Khoob-o-Zisht)
Tarbiat – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | تربیت
Hindi Maktab – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | ہندی مکتب
14 thoughts on “Khoob-o-Zisht – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | خوب و زشت”