مذہب
تضمين بر شعر ميرزابيدل
Mazhab
Tazmeen Bar-Shair-e-Mirza Bedil
تعليم پير فلسفۂ مغربی ہے يہ
ناداں ہيں جن کو ہستی غائب کی ہے تلاش
Taleem-e-Peer-e-Falsafa-e-Maghrabi Hai Ye
Nadan Hain Jin Ko Hasti-e-Ghaeeb Ki Hai Talash
پيکر اگر نظر سے نہ ہو آشنا تو کيا
ہے شيخ بھی مثال برہمن صنم تراش
Paikar Agar Nazar Se Na Ho Ashna To Kya
Hai Sheikh Bhi Misal-e-Barhman Sanam Tarash
محسوس پر بنا ہے علوم جديد کی
اس دور ميں ہے شيشہ عقائد کا پاش پاش
Mehsoos Par Bina Hai Uloom-e-Jadeed Ki
Iss Dour Mein Hai Sheesha Aqaeed Ka Pash Pash
مذہب ہے جس کا نام، وہ ہے اک جنون خام
ہے جس سے آدمی کے تخيل کو انتعاش
Mazhab Hai Jis Ka Naam, Woh Hai Ek Junoon-e-Kham
Hai Jis Se Adami Ke Takhiyul Ko Intaash
کہتا مگر ہے فلسفۂ زندگی کچھ اور
مجھ پر کيا يہ مرشد کامل نے راز فاش
Kehta Magar Hai Falsafa-e-Zindagi Kuch Aur
Mujh Par Liya Ye Murshid-e-Kamil Ne Raaz Faash
با ہر کمال اند کے آشفتگی خوش است
ہر چند عقل کل شدہ بے جنوں مباش
Bahir Kamal And Ke Ashuftagi Khush Ast
Har Chand Aqal-e-Kul Shuda Aee Be-Junoon Mabash
Firdous Mein Aik Muqalma- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | فردوس ميں ايک مکالمہ
Tazmeen Bar-Shair-e-Saeeb- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | تضمين برشعر صائب
Phoolon Ki Shehzadi- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | پھولوں کی شہزادی
11 thoughts on “Mazhab-Tazmeen Bar-Shair-e-Mirza Bedil- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | مذہب – تضمين بر شعر ميرزابيدل”