Mouj-e-Darya- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | موج دريا

Mouj-e-Darya- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | موج دريا

موج دريا

Mouj-e-Darya

مضطرب رکھتا ہے ميرا دل بے تاب مجھے
عين ہستی ہے تڑپ صورت سيماب مجھے

Muztarib Rakhta Hai Mera Dil-e-Betab Mujhe
Ayn-e-Hasti Hai Tarap Soorat-e-Seemab Mujhe

موج ہے نام مرا ، بحر ہے پاياب مجھے
ہو نہ زنجير کبھی حلقۂ گرداب مجھے

Mouj Hai Naam Mera, Behar Hai Payab Mujhe
Ho Na Zanjeer Kabhi Halqa-e-Gardab Mujhe

آب ميں مثل ہوا جاتا ہے توسن ميرا
خار ماہی سے نہ اٹکا کبھی دامن ميرا

Aab Mein Misl-e-Hawa Jata Hai Tousan Mera
Khar-e-Mahi Se Na Atka Kabhi Daman Mera

ميں اچھلتی ہوں کبھی جذب مہ کامل سے
جوش ميں سر کو پٹکتی ہوں کبھی ساحل سے

Main Uchalti Hun Kabhi Jazb-e-Mah-e-Kamil Se
Josh Mein Sar Ko Patakti Hun Kabhi Sahil Se

ہوں وہ رہرو کہ محبت ہے مجھے منزل سے
کيوں تڑپتی ہوں ، يہ پوچھے کوئی ميرے دل سے

Hun Woh Rahru Ke Mohabbat Hai Mujhe Manzil Se
Kyun Tarapti Hun, Ye Puche Koi Mere Dil Se

زحمت تنگی دريا سے گريزاں ہوں ميں
وسعت بحر کی فرقت ميں پريشاں ہوں ميں

Zehmat-e-Tangi-e-Darya Se Garezan Hun Main
Wusaat-e-Behr Ki Furqat Mein Preshan Hun Main

Dil- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | دل

Shayar- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | شاعر

Zuhad Aur Rindi- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | زُہد اور رنِدی

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *