Zuhad Aur Rindi- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | زُہد اور رنِدی

Zuhad Aur Rindi- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | زُہد اور رنِدی

زُہد اور رنِدی

Zuhad Aur Rindi


اک مولوی صاحب کي سُناتا ہوں کہانی

تيزی نہيں منظور طبيعت کی دکھانی

Ek Molvi Sahib Ki Sunata Hun Kahani
Taizi Nahin Manzoor Tabiat Ki Dikhani

 

شہرہ تھا بہت آپ کی صوفی منشی کا
کرتے تھے ادب ان کا اعالی و ادانی

Shohra Tha Bohat App Ki Sufi  Manashi Ka
Karte The Adab Un Ka Aa’aali-o-Adani

 

کہتے تھے کہ پنہاں ہے تصوف ميں شريعت
جس طرح کہ الفاظ ميں مضمر ہوں معانی

Kehte The Ke Pinhan Hai Tasawwuf Mein Shariat
Jis Tarah Ke Alfaz Mein Muzmar Hon Maani

 

لبريز مۓ زہد سے تھی دل کی صراحی
تھی تہ ميں کہيں درد خيال ہمہ دانی

Labraiz Mai-e-Zuhd Se Thi Dil Ki Surahi
Thi Teh Mein Kahin Dard-e-Khiyal-e-Hama-Dani

 

کرتے تھے بياں آپ کرامات کا اپنی
منظور تھی تعداد مريدوں کی بڑھانی

Karte The Byan Aap Karamat Ka Apni
Manzoor Thi Taadad Mureedon Ki Barhani

 

مدت سے رہا کرتے تھے ہمسائے ميں ميرے
تھی رند سے زاہد کی ملاقات پرانی

Muddat Se Raha Karte The Humsaye Mein Mere
Thi Rind Se Zahid Ki Mulaqat Purani

 

حضرت نے مرے ايک شناسا سے يہ پوچھا
اقبال ، کہ ہے قمری شمشاد معانی

Hazrat Ne Mere Aik Shanasa Se Ye Pucha
Iqbal Ke Hai Qumri-e-Shamshad-e-Maani

 

پابندی احکام شريعت ميں ہے کيسا
گو شعر ميں ہے رشک کليم ہمدانی

Pabandi-e-Ahkam-e-Shariat Mein Hai Kaisa
Go Shair Mein Hai Rashak-e-Kaleem-e-Hamdani

 

سنتا ہوں کہ کافر نہيں ہندو کو سمجھتا
ہے ايسا عقيدہ اثر فلسفہ دانی

Sunta Hun Ke Kafir Nahin Hindu Ko Samajhta
Hai Aesa Aqeeda Asar-e-Falsafa Dani

 

ہے اس کی طبيعت ميں تشيع بھی ذرا سا
تفضيل علی ہم نے سنی اس کی زبانی

Hai Iss Ki Tabiyat Mein Tashayyu Bhi Zara Sa
Tafzeel-e-Ali  Hum Ne Suni Iss Ki Zubani

 

سمجھا ہے کہ ہے راگ عبادات ميں داخل
مقصود ہے مذہب کی مگر خاک اڑانی

Samajha Hai Ke Hai Raag Ibadaat Mein Dakhil
Maqsood Hai Mazhab Ki Magar Khak Urani

 

کچھ عار اسے حسن فروشوں سے نہيں ہے
عادت يہ ہمارے شعرا کی ہے پرانی

Kuch Aar Isse Husn Faroshon Se Nahin Hai
Adat Ye Humare Shuara Ki Hai Purani

 

گانا جو ہے شب کو تو سحر کو ہے تلاوت
اس رمز کے اب تک نہ کھلے ہم پہ معانی

Gana Jo Hai Shab Ko To Sehar Ko Hai Talawat
Iss Ramz Ke Ab Tak Na Khule Hum Pe Maani

 

ليکن يہ سنا اپنے مريدوں سے ہے ميں نے
بے داغ ہے مانند سحر اس کی جوانی

Lekin Ye Suna Apne Mureedon Se Hai Main Ne
Be-Dagh Hai Manind-e-Sehar Iss Ki Jawani

 

مجموعہ اضداد ہے ، اقبال نہيں ہے
دل دفتر حکمت ہے ، طبيعت خفقانی

Majmooa-e-Azdaad Hai, Iqbal Nahin Hai
Dil Daftar-e-Hikmat Hai, Tabiat Khuftani

 

رندی سے بھی آگاہ شريعت سے بھی واقف
پوچھو جو تصوف کی تو منصور کا ثانی

Rindi Se Bhi Aagah, Shariat Se Bhi Waqif
Pucho Jo Tasawwuf Ki To Mansoor Ka Sani 

 

اس شخص کی ہم پر تو حقيقت نہيں کھلتی
ہو گا يہ کسی اور ہی اسلام کا بانی

Iss Shakhs Ki Hum Par To Haqiqat Nahin Khulti
Ho Ga Ye Kisi Aur Hi Islam Ka Bani

 

القصہ بہت طول ديا وعظ کو اپنے
تا دير رہی آپ کی يہ نغز بيانی

Al-Qissa  Bohat Toul Diya Waaz Kp Apne
Ta Dair Rahi App Ki Ye Nagz Byani

 

اس شہر ميں جو بات ہو اڑ جاتی ہے سب ميں
ميں نے بھی سنی اپنے احبا کی زبانی

Iss Shehar Men Jo Baat Ho, Urh Jati Hai Sub Mein
Main Ne Suni Apne Ahibba Ki Zubani

 

اک دن جو سر راہ ملے حضرت زاہد
پھر چھڑ گئی باتوں ميں وہی بات پرانی

Ek Din Jo Sar-e-Rah Mile Hazrat-e-Zahir
Phir Chhir Gyi Baton Mein Wohi Baat Purani

 

فرمايا ، شکايت وہ محبت کے سبب تھی
تھا فرض مرا راہ شريعت کی دکھانی

Farmaya, Shikayat Woh Mohabbat Ke Sabab Thi
Tha Farz Mera Rah Shariat Ki Dikhani

 

ميں نے يہ کہا کوئی گلہ مجھ کو نہيں ہے
يہ آپ کا حق تھا ز رہ قرب مکانی

Main Ne Ye Kaha Koi Gila Mujh Ko Nahin Hai
Ye App Ka Haq Tha Zarah-e-Qurb-e-Makani

 

خم ہے سر تسليم مرا آپ کے آگے
پيری ہے تواضع کے سبب ميری جوانی

Kham Hai Sar-e-Tasleem Mera App Ke Agay
Peeri Hai Tawazaa Ke Sabab Meri Jawani

 

گر آپ کو معلوم نہيں ميری حقيقت
پيدا نہيں کچھ اس سے قصور ہمہ دانی

Gar App Ko Maloom Nahin Meri Haqiqat
Paida Nahin Kuch Iss Se Qasoor-e-Hamadani

 

ميں خود بھی نہيں اپنی حقيقت کا شناسا
گہرا ہے مرے بحر خيالات کا پانی

Main Khud Bhi Nahin Apni Haqiqat Ka Shanasa
Gehra Hai Mere Behr-e-Khiyalaat Ka Pani

 

مجھ کو بھی تمنا ہے کہ اقبال کو ديکھوں
کی اس کی جدائی ميں بہت اشک فشانی

Mujh Ko Bhi Tammana Hai Ke Iqbal Ko Dekhun
Ki Iss Ki Juddai Mein Bohat Ashak Fishani

 

اقبال بھی اقبال سے آگاہ نہيں ہے
کچھ اس ميں تمسخر نہيں ، واللہ نہيں ہے

Iqbal Bhi Iqbala Se Agah Nahin Hai
Kuch Iss Mein Tamaskhar Nahin Wallah Nahin Hai

 

Ishq Aur Mout- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | عشق اور موت

Payam-e-Subah- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | پيام صبح

Insan Aur Bazm-e-Qudrat- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | انسان اور بزم قدرت

3 thoughts on “Zuhad Aur Rindi- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | زُہد اور رنِدی

  1. Pingback: albino penis envy

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *